Keya hazrat Oumme Kulsum ki koei aulaad thi ? | karbala me shahid huei ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Thursday, July 14, 2022

Keya hazrat Oumme Kulsum ki koei aulaad thi ? | karbala me shahid huei ?

اردو میں پڑھنے کے لئے یہاں دبائیں


Sawaal az : Mohtarama janaab Nigar Fatma sb (Meerut UP)


Salam Alaikum WWB.


Mera sawal hai jaisa ke aaj kal kuch logon ka kahna hai ke mola Ali AS ki chhoti beti janab e Umme kulsoom SA ki aulaade thi aur karbla me bhi un ke bete ki shahaadat batai ja rahi hai to kiya ye riwayat sahi hai ya nahi ??? Yani Janab e Umme Kulsoom binte Mola Ali AS ki aulaad thi ya nahi ....????
Plz jawab jald hi dena ke sahi riwayat kiya hai ....


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمة الله و بركاته


Mokhtasar jawaab :


hazrat Oumme Kulsum (سلام الله عليها) ki shaadi ko saabit karna yaqinan bahot mushkil kaam hai


aap ki shaadi ka koei thos sobut nahi mila lehaaza aulaad ka hona aur shahaadat bhi saabit nahi hai


Qadre tafsili jawaab :


aulaad hone ka matlab ye hai ke ham ne taslim kar liya ke Omar ki shaadi hazrat Amirul Momenin Ali aur hazrat Faatemah ki beti hazrat Oumme Kulsum (سلام الله عليهم) se huei aur hazrat Oumme Kulsum (سلام الله عليها) ke batn se Omar ke saaheb zaade "Zaid" aur saaheb zaadi "Roqaiy'yah" paida huein


sunni mowarrekhin ka is par israar hai ke Omar ki shaadi hazrat Oumme Kulsum binte Ali wa Faatemah (سلام الله عليهم) se huei aur Omar se Oumme Kulsum (سلام الله عليها) ke yahaan aek beta "Zaid" aur aek beti "Roqaiy'yah" paida huein


(Sunni ketaab : at'tabaqaatul kubra jild 8 safah 463 taalif ibne saad)


Omar se aap ki shaadi ka daawa mahaz iftera aur khelaafe aql wa naql hai jis ki tafsil dalaa'ael aur baraahine qaaherah ke saath shi'on ki sainkadon (سینکڑوں) kotube motabarah aur tahqiqi ketaabon wa maqaalon me qaabile did hai


sunni mowarrekhin ne ye bhi likha hai ke Omar ki maut ke baad hazrat Oumme Kulsum (عليها السلام) apne chachere bhaaei "Aun bin Jaafar " ke nekaah me aaein, oun ke baad "Mohammad bin Jaafar" ke nekaah me aaein aur oun ke baad hazrat Zainab (عليها السلام) ke shauhar "Abdullah bin jaafar" se nekaah huaa, oun tinon se koei aulaad nahi huei


(Sunni ketaab : at'tabaqaatul kubra jild 8 safah 463 taalif ibne saad)


Waazeh ho ke ye rewaayat bhi jaali aur gadhi huei hai keyon ke khud akaabire olama'ae sunni raqam taraaz hain ke :


Omar ke daure khelaafat me hi "Aun bin Jaafar" aur "Mohammad bin Jaafar " shahar "Shushtar" me qatl kar diae ga'ae the [yaani hazrat Oumme Kulsum (سلام الله عليها) ke dusre aur teesre shauhar, pahle shauhar yaani Omar ke pahle hi qatl kar diae ga'ae the]


Sirf do sunni ketaabon ke hawaale :


  1. al-isti'aab fi maarefatil as'haab jild 3 safah 1247 taalif ibne Abdul bar

  2. al-aesaabah fi tamyi'zis sahaabah jild 4 safah 619 taalif ibne Hajar asqalaani

is baat ke peshe nazar kaise momkin hai ke farzandaane Jaafar ne Omar ke baad nekaah kiya ho ?


shaayad dobaara zindaa ho ga'ae hon aur aqde Oumme Kulsum (سلام الله علیھا) ke ta'alluq se sunniyon ke afsaane ko haqiqat bataane ke liae Oumme Kulsum (سلام الله علیھا) se shaadi kar li ho !!!


dusre ye ke hazrat Oumme Kulsum (سلام الله عليها) ki shaadi hazrat Abdullah bin Jaafar se qaabile qabul nahi, is liae ke aek waqt me do sagi bahno se shaadi karna jaa'aez nahi hai


hazrat Zainab (سلام الله عليها) waaqe'a'ae Karbala ke baad bhi zinda thin aur aap ke shauhar hazrat Abdullah the


Ibne Aenabah ne farzandaane Muslim bin Aqil ka zikr karte huae "Hamidah" naam ki aek ladki ka bhi zikr kiya hai jis ke baare me likha hai ke aap ki maadare geraami "Oumme Kulsum binte Ali" (سلام اللہ عليهم) hain


(Shia ketaab : oumdatut taalib fi ansaabe aale abi taalib safah 32 taalif ibne Aenabah)


Lekin Syed Mohsin Amin ne ibne Aenabah ki baat naql karne ke baad likha hai ke :


ye khabar is baat par dalaalat karti hai ke Muslim bin Aqil ne apni chacheri bahen "Oumme Kulsum" se shaadi ki lekin ye dusri "Oumme Kulsum" hain is liae ke is shaadi ki rewaayat kisi ne nahi ki hai


(Shia ketaab : Aayaanush shia jild 3 safha 484 taalif syed mohsin amin)


dusre ye ke waaqe'a'ae Karbala ke baad hazrat Oumme Kulsum (سلام الله عليها) asir hueih, agar bach'che hote to kahin oun ka bhi zikr hota


aap ne molaaheza farmaaya ke hazrat Oumme Kulsum binte Ali wa Zahra (سلام اللہ عليهم) ki shaadi Omar se nahi huei aur dusaron se bhi shaadi aur aulaad ka koei thos sobut hamen nahi mila is liae ke aap ne kis se shaadi ki ? is ta'alluq se aetne zeyaadah aekhtelaafaat hain ke hamaare liae aap ki shaadi bilkul mubham wa mashkuk hai


mazkurah bayaan ke ke peshe nazar karbala me aulaad ki shahaadat ka sawaal hi paida nahi hota is liae ke pahle shaadi hai phir aulaad wa shahaadat


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


13 / ذی الحجہ / 1443 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.