Keya ye rewaayat sahih hai ke Imaame Zamaana 70 hazaar olamaa ko qatl karenge ? | Butriyah kaun log hain ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, October 8, 2022

Keya ye rewaayat sahih hai ke Imaame Zamaana 70 hazaar olamaa ko qatl karenge ? | Butriyah kaun log hain ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : +91703853.....


... yeh bhi ek riwayat chalti hai ke aakheri zamaane me 70 hazar ulma e Deen ki gardan imam uda'aenge iska bhi wazeh jawab dijiye aaga 🙏🙏🙏


Jawaab :


باسمه تعالی
یا صاحب الزمان ادرکنا
سلام علیکم


Jawaab se pahle chand baaten ba'taure tamhid samajhna zaruri hai :


  1. Imaame Asr (عجل الله تعالی فرجه الشریف) ke zohur wa qeyaam ke hawaale se muslim aur ghair muslim mo'aashara aur qaum ifraato tafrit (ghair motadil haalat) ka shekaar hai.
    baaz kahte hain Imaame Zamaana (عجل الله فرجه الشریف) aate hi logon ki gardan ouda denge, munkeraane islaam ke khun se aek darya baha denge, zamin par is qadr khun bahaa'aenge ke khun aap ki rekaab tak pahonch jaa'ae ga
    ye hai ifraat yaani hadde aetedaal se badh jaana

  2. is baare me hadis gadhne aur Maasumin (سلام الله علیهم) aur Sahaaba ki taraf ghalat baat mansub karne ke na'ae na'ae fitnon ne janam liya


    baaz tafrit (had se zeyaadah kami) ka shekaar hain, kahte hain jab Imaam Mahdi (عجل الله فرجه الشریف) ka zohur hoga to haalaat khud ba khud thik ho jaa'aen ge hatta "لَا یُهرِیقُ مِحجَمَة دَم" pachhne lagaane ke auzaar (singi) me nikaale huae khun ke baraabar bhi khun nahi bahe ga
    ye bhi sahih nahi hai is liae ke agar aiysa ho to Rasule Akram (صلی الله علیه و آله) jawaabi hamla aur defaa'ei jang ka hukm na dete, zakhmi na hote, aap ko kaei zakhm lage, aap ka daant tut gaya, chehra zakhmi ho gaya, khun bahne laga aur Amirul Momenin Ali (علیه السلام) ne aap ke hukm se oun kuffaaro mushrekin ko waasile jahannam kiya jo aap ke khelaaf haalate jang me the


  3. Lafz "Olamaa" aam hai sirf shia olamaa par saadiq nahi aata hai balke is me dusre adyaan wa mazaahib ke olamaa jaiyse olamaa'ae yahud wa nasaara aur olamaa'ae sunni, wahaabi aur naasebi ... bhi shaamil hain, sab ko shaamil karta hai, kisi khaas deen wa mazhab ke olamaa moraad nahi hote

  4. mujhe ta'ajjub hota hai aiyse logon par jo 70 hazaar olamaa ka misdaaq sirf shia olamaa wa foqaha ko qaraar dete hain


  5. Jo shakhs ye samjhta hai ke Imaame Zamaana (عجل الله تعالی فرجه الشریف) shia isna ashari olamaa wa foqaha ko qatl karenge to ous ne Imaame Asr (روحی له الفداء) par bahot bada bohtaan baandha, kisi shakhs khosusan Imaame waqt (عجل الله تعالی فرجه الشریف) par bohtaan lagaana shar'an intehaaei sakht gunaah aur haraam hai keyon ke jo bhi 12 Imaami hai wo momin hai

  6. Imaame Zamaana (عجل الله فرجه الشریف) ki hokumat me shion aur musalmaanon ke aelaawah dusre adyaan ke log bhi zindagi karenge aur aap ki qeyaadat wa hokumat ko deyaanat'daari aur munsefaana wa aadelaana nezaam ki wajah se qolub ki reza'mandi ke saath qabul karenge, baad me aap ke Mohammadi, Alawi, Faatemi, Hasani aur Husaini akhlaaq se mota'assir ho kar mazhabe haq ko qabul kar lenge


    mai momenin se puchhta hun keya Maasum Imaam (معاذالله) kisi momin ko qatl kar sakte hain ?
    is liae ke qur'aan ke motaabiq aek momin ka qatl puri dunya ki tabaahi se bada gunaah hai, dorost hai ke olamaa wa foqahaa'ae shia maasum nahi hain lekin oun ke momin hone me koei shak nahi


    70 hazaar olamaa ke qatl ki baaten omuman olamaa'ae shia wa olamaa'ae haq ki tasweer bigaadne aur oun se bezaar karne ke liae kahi jaati hain taa ke qaum, olamaa'ae baa amal se dur ho aur jaahilon ko apna sardaar banaa'ae aur seyaasi, samaaji aur deeni masaa'ael me be'ghair eilm ke fatwe den aur qaum ko gumraah karen


Is tamhid ke baad mazkurah sawaal ka jawaab molaaheza kijiae :


aap ne sawaal me Imaame Zamaana (عجل الله فرجه الشریف) ke tawassut se jo 70 hazaar olamaa ke qatl ka zikr kiya hai ous ki saraahat hamen nahi mili


Albattah is ta'alluq se aek tawil rewaayat ke baaz hisse molaaheza farmaa len :


Abu Jaarud se manqul hai ke Imaame Baaqir (علیه السلام) ne farmaaya :


"... يَسِيرُ إِلَى الْكُوفَةِ، فَيَخْرُجُ مِنْهَا سِتَّةَ عَشَرَ أَلْفاً مِنَ الْبُتْرِيَّةِ، شَاكِينَ فِي السِّلَاحِ : قُرَّاءَ الْقُرْآنِ، فُقَهَاءَ فِي الدِّينِ، قَدْ قَرَحُوا جِبَاهَهُمْ، وَ شَمَّرُوا ثِيَابَهُمْ، وَ عَمَّهُمْ النِّفَاقُ، وَ كُلُّهُمْ يَقُولُونَ: يَا ابْنَ فَاطِمَةَ، اِرْجِعْ لَا حَاجَةَ لَنَا فِيكَ. فَيَضَعُ السَّيْفَ فِيهِمْ ... فَيَقْتُلُهُمْ ... "


Hadis ka mafhum wa tarjomah :


" ... jab Hazrat Qaa'aem qeyaam karenge to Kufa rawaana honge ... wahaan "Butriyah" firqe ke 16 hazaar afraad Imaam ke madde moqaabil mosallah khade honge. wo qaariyaane qur'aan aur mazhabi foqaha honge aur kasrate aebaadat se oun ki peshaaniyon par aiysa puraana phoda hoga jis me pip jama hogi aur apne kapdon ko samete huae honge aur shab zinda daari se oun ke chehre zard honge aur monaafeqat ne ounhen dhaanp rakha hoga aur aek aawaaz ho kar Imaam se kahenge "Ay farzande Faatemah ! jahan se aa'ae hain wahin chale jaa'aen hamen aap ki zarurat nahi hai ... phir Imaam talwaar khainch kar sab ko halaak kar denge ... "


(Dalaa'aelul aemaamah - safha 455 wa 456 - Taalif Mohammad Bin Jarir Tabari Saghir / tisre Tabari)

is rewaayat ki sanad ko nazar andaaz karte huae ye arz kar dun ke is rewaayat me hai ke Imaame Asr (روحی فداه) foqaha ko qatl karenge lekin foqaha se moraad kaun foqaha wa olamaa hain ?


Is rewaayat me saraahat ke saath bataaya gaya hai ke :


  1. Oun ka ta'alluq "Butriyah" firqe se hoga

  2. Wo monaafiq honge

  3. faqaahat aur taqaddus ka labaadah ordh kar qur'aan ki telaawat aur aebaadat logon ko dhoka dene ke liae karenge


  4. Oun ke jism par ladaaei ke hathiyaar saje honge

  5. Imaam Mahdi Mau'oud (عجل الله فرجه الشریف) se jang wa harb aur zarb ke liae kamar basta honge

mokhtasar ye ke wo foqaha wa olamaa ous waqt ke khawaarij honge
in ki ideology aur nahj wahi hai jo khawaarij ka tha


Imaame Asr (عجل الله تعالی فرجه الشریف) aiyse foqaha wa olamaa ko qatl karenge, na ke shia isna ashari foqaha wa olamaa ko


"Butriyah" kon log hain ?


Amirul Momenin Ali (علیه السلام) ki Imaamat ko qabul karte hain, is par eimaan rakhte hain lekin is Imaamat ko Abu Bakr wa Omar ki khelaafat ke saath makhlut kar diya, yaani Abu Bakr wa Omar ko bhi khalifa maante hain lekin Usmaan aur Talha wa Zobair se bezaari karte hain aur Hazrat Ali, Imaam Hasan aur Imaam Husain (سلام الله علیهم) se mohabbat karte hain aur aap ke dushmanon se baraa'at, lekin is ke saath Abu Bakr wa Omar se bhi mohabbat karte hain aur in ke aadaa se nafrat


(Aekhteyaaro Maarefatir Rejaal Al-maaruf ba Rejaale Kash'shi - jild 1 - safha 233 wa 236 - Taalif Shaikh Tusi)


foqaha wa Olamaa'ae Butriyah, Arbaabe Saqifa ki tarah hain isi liae Janaabe Faatemah Zahra (سلام الله علیها) ka naam le kar kaha ke "Ay Farzande Faatemah ! jahaan se aa'ae hain wahin chale jaa'aen ..." aiysa keyon kaha ?


is liae ke Imaame Asr (عجل الله تعالی فرجه الشریف) ki rawish wa sirat wahi hogi jo aap ki jaddah Hazrat Faatemah (سلام الله علیها) ki thi, aap kholafa se ghazab'naak aur bezaar thin, Imaame Zamaana (روحی له الفداء) bhi aiysa hi karenge


Ye baat foqaha wa olamaa'ae firqa'ae Butriyah ko bardaasht nahi hogi, is liae kahenge ke "jahaan se aa'ae hain wahin chale jaa'aen, hamen aap ki zarurat nahi hai ..."


Tabserah :


Pahle sawaal ka jawaab dene se maazur hun, is liae ke is tarah ke sawaal ka jawaab nahi diya jaata hai, maazerat


Niche recommend ki ga'ei video ka dekhna mofid hai انشاءالله


Imaame Zamaana (atfs) | Munji | alaamaate zohur | haalaate haazerah (video)


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-Edaara-e-Darul Itrat Azim Aabaad / Patna - Shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


10 / ربیع الاول / 1444ھ.ق


🌹🌹🌹🌹🌹
روز ازدواج رسول اکرم اور ام المومنین حضرت خدیجہ (سلام الله علیهم)
🌹🌹🌹🌹🌹

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.