Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Tuesday, January 31, 2023

Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


بسم الله الرحمن الرحیم

ياصاحب الزمان ادرکنا


Syed Eibne Taawus waghairah ne bayaan kiya hai ke Mohammad Bin Zakwaan jo ke Sajjaad (bahot sajda karne waale) se maaruf hain sajde karte huae aetna zeyaadah ro'ae ke naa'bina ho ga'ae, in se rewaayat hai ke main ne Imaam Saadiq (علیه السلام) se arz kiya ke :


Main aap par qurbaan jaa'oun, Maahe Rajab hai, is mahine me mujhe aiysi doa ki taalim dijiae jis ke zari'ae se khoda mujh ko naf aur faa'aedah pahonchaa'ae. To aap ne farmaaya :


Maahe Rajab ke har rozo shab aur shabo roz ki apni har namaazon ke baad is doa ko padho :


" يَا مَنْ أَرْجُوهُ لِكُلِّ خَيْرٍ، وَآمَنُ سَخَطَهُ عِنْدَ كُلِّ شَرٍّ، يَا مَنْ يُعْطِى الْكَثِيرَ بِالْقَلِيلِ، يَا مَنْ يُعْطِى مَنْ سَأَلَهُ، يَا مَنْ يُعْطِى مَنْ لَمْ يَسْأَلْهُ وَمَنْ لَمْ يَعْرِفْهُ تَحَنُّناً مِنْهُ وَرَحْمَةً، أَعْطِنِى بِمَسْأَلَتِى إِيَّاكَ جَمِيعَ خَيْرِ الدُّنْيا وَجَمِيعَ خَيْرِ الْآخِرَةِ، وَاصْرِفْ عَنِّى بِمَسْأَلَتِى إِيَّاكَ جَمِيعَ شَرِّ الدُّنْيا وَشَرِّ الْآخِرَةِ، فَإِنَّهُ غَيْرُ مَنْقُوصٍ مَا أَعْطَيْتَ، وَزِدْنِى مِنْ فَضْلِكَ يَا كَرِيمُ "


"Yaa man arjuho le kulle khair, wa aamano sakhatahu einda kulle shar, Yaa man yotil kasira bil qalil, Yaa man yoti man sa'alahu, yaa man yoti man lam yas'alho wa man lam yaarifho tahannonan minho wa rahmah, aateni bemas'alati eiy'yaaka jami'a khairid dunya wa jami'a khairil aakherah, wasrif anni bemas'alati eiy'yaaka jami'a sharrid dunya wa sharril aakherah, fa'einnahu ghairo manqusin maa aataita, wa zidni min fazleka yaa karim"


Tarjomah wa mafhum :


"Ay wo (Khoda) jis se main har bhalaa'ei ki oummid rakhta hun aur har buraa'ei ke waqt ous ke ghazab se bachna chaahta hun, Ay wo (Khoda) jo kam ke baraabar zeyaadah ata karta hai, Ay wo (Khoda) jo bhi tujh se maangta hai ata karta hai, Ay wo (Khoda) jo tujh se nahi maangta aur tujh ko nahi pahchaanta ouse bhi apni mehrbaani aur rahmat ke waaste ata karta hai, main ne tujh se jo kuchh bhi darkhaast ki hai ous ke sabab dunya aur aakherat ki tamaam bhalaa'eiyaan aur ach'chaa'eiyaan mujhe ata farma aur main ne tujh se jo kuchh bhi darkhaast ki hai ous ki wajah se mujh se dunya aur aakherat ki tamaam buraa'eiyaan dur kar de keyon ke jo kuchh tu ne ata kiya ous me koei kami nahi ki gaei hai aur Ay karim apne fazl se mujhe aur zeyaadah ata kar (yaa) mujhe zeyaadah kar (yaani mere wojud ko buzurg aur koshaadah kar)"


Raawi kahta hai :


Phir Imaam (علیه السلام) ne apna baayaan haath outhaaya aur is haath ki mut'thi se apni daadhi pakdi aur shahaadat ki oungli (daahene haath ki wo oungli jo anguthe ke paas hoti hai) ko harkat dete huae Khoda ki panaah lete huae (aur giryao zaari ke saath) mazkurah baala doa (yaani Yaa man arjuho le kulle khair ...) padhi aur phir is doa ka darj zail aakhri jumla padha :


" يَا ذَا الْجَلالِ وَالْإِكْرامِ، يَا ذَا النَّعْماءِ وَالْجُودِ، يَا ذَا الْمَنِّ وَالطَّوْلِ، حَرِّمْ شَيْبَتِي عَلَى النَّارِ "


"Yaa zal'jalaale wal'eikraam, Yaa zan'naamaa'ae wal'jud, Yaa zal'manne wat'taul, harrim shaibati alan'naar"


"Ay saahebe azmato eizzat wa saahebe ein'aam wa eikraam aur Ay nematon aur jud waale aur Ay aehsaan wa bakh'shish karne waale, meri daadhi ke safed baalon par jahannam ki aag haraam farma de"


Dusri hadis me hai :


Phir Imaam (علیه السلام) ne apna haath apni daadhi par rakha aur ous waqt tak nahi hataaya jab tak ke aap ke haath ki pusht aansu'on se tar ba'tar na ho gaei


(Aeqbaalul Aamaal - Jild 2 - safha 644 - Taalif Syed Bin Taawus)

Yahan chand aek baaton ki wazaahat kar dena zaruri maalum hota hai :


  1. Imaam Saadiq (علیه السلام) ne farmaaya : is doa ko har rozo shab aur raato din ki apni har namaazon (waajib ya mustahab) ke baad padho
    Is se is doa ki ahamiyat aur fazilat maalum hoti hai

  2. Doa padhte waqt daadhi pakadne aur shahaadat ki oungli hilaane ka sahih tariqa aur waqt :

  3. Momenin me rewaaj wa maamul hai ke "Yaa zal'jalaale wal'eikraam, Yaa zan'naamaa'ae wal'jud, Yaa zal'manne wat'taul, harrim shaibati alan'naar" padhte waqt daadhi pakadte hain aur shahaadat ki oungli ko harkat dete hain


    Mazkurah rewaayat ke matn wa aebaarat se is tariqe aur andaaz ka istefaadah nahi hota hai balke rewaayat ke matn se istefaadah hota hai ke Imaam Saadiq (علیه السلام) ne doa ke awwal (yaani Yaa man arjuho ...) se aakhir (yaani Yaa zal'jalaale wal eikraam ...) tak giryao zaari ke saath apne baa'aen haath ki mut'thi se apni mobaarak daadhi pakde rahe aur shahaadat ki oungli ko harkat dete rahe


    Lehaaza momenin aur momenaat ke liae behtar hai ke is doa ko ous tarah padhen jis tarah Imaam Saadiq (علیه السلام) ne padha yaani is amal ko eibtedaa'ae doa se aakhir tak anjaam den


  4. Daadhi yaa thud'di pakadne aur daa'aen wa baa'aen shahaadat ki oungli ko harkat dene ki hikmat :

  5. Mazkurah aur dusri rewaayaat se istefaadah hota hai ke daadhi yaa thud'di pakadna aur shahaadat ki oungli ko harkat dena doa ke aadaab me se hai, Imaam Saadiq (علیه السلام) ne aiysa kiya lehaaza ham bhi waiysa hi karte hain


    Albattah is amal ki hikmat wa eillat shaayad ye ho ke ye amal giryao zaari aur aajezi wa einkesaari ki alaamat wa neshaani hai
    Wallaaho Aalim


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله


  1. keya maahe rajab me har roz padhi jaane waali doa ko auraten padh sakti hain ? is liae ke oun ke chehre par daadhi nahi ougti

  2. Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

  3. laylatur raghaa'aeb ki namaaz ka hukm | niyat ka tariqa | matlab | naam rakhne ka sabab

W.salaam

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Qum / Iran


8 / Rajab / 1444 H.Q

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen