Roze ki haalat me keya shahwaani kheyaalaat se roza baatil ho jaa'ae ga ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Tuesday, March 21, 2023

Roze ki haalat me keya shahwaani kheyaalaat se roza baatil ho jaa'ae ga ?

Sawaal az : .....


Roza me agar shahwat waali soch aayi ya dekha ke aise hu to keya roza tut jayega
Baithe hue soch me aa jaana ya kisi se baat karte hue is tarah ho to


Jawaab :


باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم


shahwaani kheyaalaat, shahwaani manaazir dekhne aur shahwat angez baaten karne se roza baatil nahi hoga ba'sharte ke is kaam ke zariae mani nikaalne ka aeraadah na ho


aur agar is kaam ke zariae mani nikaalne ka qasdo aeraadah ho to is surat me mani khaarij na ho tab bhi agar dobaara roze ki niyat na kare to roza baatil hai


aur agar roze ki niyat kar li to aehteyaate laazim ke taur par roze ko mokammal kare aur qaza bhi baja laa'ae


Note :


insaan ko ghalat kheyaalaat se parhez karna chaa'hiae


is liae ke ye gunaahon par oubhaarte hain aur fikre gunaah ko zehni zena kaha gaya hai


Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ka irshaade geraami hai :


مَن كَثُرَ فِكرُهُ فِى المَعَاصِى دَعَتهُ اِلَيهَا


"jis shakhs ki fikr gunaahon me zeyaadah ho to fikre gunaah ous ko gunaahon ki jaanib khainchti (کھینچتی) hai


(ghorarul hekam jild 5 p 321)


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


12 / رمضان المبارک / 1441 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.