Aurat ko 2 maah baad khun aa'ae to namaaz aur roze ka keya hukm hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, April 15, 2023

Aurat ko 2 maah baad khun aa'ae to namaaz aur roze ka keya hukm hai ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : khaahare geraami


salamun alikum


mujhe 2 mahine 5 roz tak maahwaari nahi aai (haiz nahi aaya) 2 maah 5 roz ke baad khun aaya lekin bahot kam aur faasle se, namaaz aur roza ke liye me kaya karun ?


Taqlid sistani sahab


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


agar khun ho (masalan pip na ho) aur 3 roz tak lagaataar (paiy dar paiy) jaari rahe aur band na ho agarche raham ke andar ho, to haiz hai (aap ke liae namaaz padhna aur roza rakhna haraam hai, jaa'aez nahi hai) agar aiysa nahi to istehaazah hai, lehaaza is surat me istehaazah ke ahkaam jaari hon ge


tauzihul masaa'ael me tafsil dekh sakti hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


24 / ramzaanul mobaarak / 1444 H.Q

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.