Shabe qadr me surah ankabut, rum aur dokhaan padhne ki fazilat aur eillat - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Tuesday, April 11, 2023

Shabe qadr me surah ankabut, rum aur dokhaan padhne ki fazilat aur eillat

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : mohtarama janaab Nak'hat Sb. Ushrawi / Patna


Asw moulana sb. shabe qadr mai surah room, surah ankaboot aur surah dukhaan padhne ka hukm kya hai in suraho ka shabe qadr mai padhne ki kya fazilat hai aur shabe qadr se monasebat hai. Plz samjha de


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


"Laiy'latul Qadr" ko ham log shabe qadr kahte hain is raat ko "Laiy'latul Azamah" (shabe azmat) aur "Laiy'latush Sharaf" (sharaf ki raat) bhi kaha gaya hai


Ramzaanul mobaarak ki shabe te'ees (23) ke mushtarak (aam) aamaal ke aelaawah khosusi aamaal bhi hain jin me se Surah Dokhaan aur Ankabut wa rum padhna waarid huaa hai


Hazrat Abu Baseer se rewaayat hai ke Imaam Saadiq (عليه للسلام) ne irshaad farmaaya :


" مَنْ قَرَأَ سُورَةَ الْعَنْکَبُوتِ وَ الرُّومِ فِی شَهْرِ رَمَضَانَ لَیْلَةَ ثَلَاثَةٍ وَ عِشْرِینَ فَهُوَ وَ اللَّهِ ... مِنْ أَهْلِ الْجَنَّةِ ... إِنَّ لِهَاتَیْنِ السُّورَتَیْنِ مِنَ اللَّهِ مَکَاناً "


"jo shakhs Maahe Ramzaan ki shabe te'ees me surah Ankabut aur Rum padhe to khoda ki qasam ... wo ahle jan'nat me se hai ... beshak khoda ke nazdik in 2 surah ka aek khaas maqaamo martaba hai"


(tafsire "maj'maoul bayaan" - jild 8 - p 351 - tafsire surah ankabut - taalif Fazl Bin Hasan Tabarsi)


Ramzaanul mobaarak ki shabe te'ees me Surah Dokhaan ko bhi padhne ke liae kaha gaya hai


(Aeqbaalul Aamaal - jild 1 - p 214 - taalif Say'yed Bin Taawus)


aap ne molaaheza farmaaya ke Imaam Saadiq (علیه السلام) ne qasam khaa kar farmaaya hai ke jo shakhs shabe qadr me in do surah ko padhe wo jannati hai is liae ham shabe qadr me Surah Ankabut aur Rum padhte hain


Surah Dokhaan bhi padhne ke liae kaha gaya hai, neez Surah Dokhaan me hai ke "khoda ne baa barkat raat yaani shabe qadr me qur'aan outaara"


jo oupar bayaan kiya gaya shabe qadr me padhne ki wahi fazilat aur monaasebat hai


in 3 surah ki telaawat ki taakid is liae hai ke is ki gahraaei, ma'aani aur paiyghaam par zeyaadah ghauro fikr aur tawaj'joh di jaa'ae taake ham shabe qadr me khaabe ghaflat se bedaar hon. shabe qadr me Surah Ankabut, Rum aur Dokhaan me bayaan kiae ga'ae masaa'ael ki taraf tawaj'joh karna bahot qimti hai, agar ham in 3 surah ko har saal shabe qadr me padhen to hamaari ghaflaten dur ho sakti hain aur hamaari ruh ki parwarish ho sakti hai


ye tinon surah shabe qadr aur dunya me runoma hone waale aam waaqe'aat ke mota'alliq hain


in tinon surah, taqdir aur haqqo baatil ki taarikhi saf bandi par ach'chhi tarah ghaur karna chaahiae


Ankabut ka matlab makdi hai is me aek aham paiyghaam ye hai :


is surah me makdi ke jaale ko kamzor ghar se tashbih di gaei hai, makdi ka jaala (ghar) nehaayat kamzor aur naa paa'aedaar hota hai, tamaam gharon se zeyaadah kamzor ghar makdi ka ghar hi hai


jo log Allaah ke sewa dusron ki prastish wa puja karte hain aur apna kaar saaz moqarrar karte hain ya khoda ke moqarrar kardah peshwa ke bajaa'ae auron ko apna peshwa aur haajat rawa wa mushkil kusha samajhte hain aur oun par takiyah karte hain oun ki misaal makdi aur ous ke ghar si hai


hawa ke aek jhonke se larazte hain aur khatm ho jaate hain aur oun ki tahzib makdi ke kamzor ghar waali tahzib ban jaati hai


mokhtasar ye ke shabe qadr me Surah Ankabut, Rum aur Dokhaan me bayaan kiae ga'ae masaa'ael waghaiyrah par tawaj'joh karna bahot zaruri aur qimti hai


agar ghaflat ka shekaar huae to ham makdi ke ghar ki tarah kamzor aur rumiyon ki tarah maghlub ho jaa'aen ge aur hamaari zindagi wa ghar me dokhaan yaani dhuwaan dhuwaan ho jaa'ae ga


shabe qadr ke baare me mofid maalumaat haasil karne ke liae "Menu" me "roza" ka shoba molaaheza farmaa len


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


19 / maahe ramzaan / 1444 H.Q

Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ke sare aqdas par zarbat lagne ka pahla din

subscribe us on Youtube

No comments:

Comment

.