اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : mohtaram janaab Syed Ikram Ali Jafari sb (Haidarabad / India)
salaam alaikum
mera sawaal ye hai ke maine haath pe heartbeat wave ka tattoo banwaaya hai is tattoo ke bicho bicho heartbeat wave ko mod ke baarah singa jaanwar ka sar (head) bana hua hai to keya ispe namaaz padhna sahi hai ? keya namaaz hogi ispe ?
aur agar ise kapde se dhank diya jaaye ya full aanstin ka shirt pehan ke namaaz padha jaaye to iska keya hukm hai ?
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمة الله و بركاته
dhaanpna zaruri wa laazim nahi hai aur namaaz baatil nahi hai
waazeh rahe ke haath ke aelaawah jism ke kisi hisse par ya baarasingaa ke aelaawah kisi bhi jaanwar ka tattoo bana ho to ous ka hukm bhi wahi hai jo oupar bayaan kiya gaya hai
mauzu ke mota'alliq mofid maalumaat ke liae niche di gaei surkhi (headline) par click karen
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
kaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna- shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
5 / sahw'waal / 1444 H.Q
No comments:
Comment