اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : Mohtaram Janaab Syed Mukhtar Hussain Sb (Patna Bihar)
Salamoon Alayekum
Mera ek sawal hai.
Kya Imam Hussain a.s ka Taboot paise de kr uthana behter hai ya aisi rasm ko band kr dena behter hai
Note : rasm isliye bol raha hu k mere ajdad uthate the isliye mujhe bhi uthana hai bhale hi paise de k uthwana pade
Jawab ka muntazir
Syed Mukhtar hussain
Patna Bihar
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Agar Imaam Husain (alaihis salaam) ka alaamati taabut outhaana paise dene par mauquf ho, ous ke beghair taabut outhaaya nahi jaa sakta to paise de kar taabut outhwaana band karne se afzal wa behtar hai
Haqiqi islaam wa maqsade Husaini ki baqa aur musalmaanon ki sa'aadat, azaadaari ki marhune minnat hai
Zail me aek hadise qudsi ke baaz hisse, hazf karne ke baad molaaheza farmaa'aen :
حَکَی صاحِبُ ذَخائِرِ الأفهامِ عَن عَبدِاللهِ بنِ داودَ، عنِ الثِّقَاتِ، عَنِ ابنِ عَبّاسِ، قالَ:
... وَ إذا بِجَبْرَئِیلَ الْأَمِینِ هَبَطَ مِنَ الرَّبِّ الْجَلِیلِ، وَ قَالَ: یَا مُحَمَّدُ، الْعَلِیُّ الأعلَی یُقْرِؤُکَ السَّلَامُ، وَ یَخُصُّکَ بِالتَّحِیَّهِ وَ الإکرَامِ، وَ یَقُولُ لَکَ: ...، فَوَعِزَّتِی وَ جَلَالِی أَنِّی لَأَخلُقُ لَهَا (فاطمه) شِیعَهً طَاهِرِینَ مُطَهَّرِینَ، یُنْفِقُونَ أَمْوالَهُمْ عَلَی عَزَاءِ الْحُسَیْنِ، وَ أَرْوَاحَهُمْ عَلَی زِیَارَتِهِ، وَ یُقِیمُونَ عَزَاءَهُ فِی مَجَالِسِهِمْ، وَ یَسْبِکُونَ الدُّمُوعَ، وَ یُقَلِّلُونَ الهُجُوعَ، لَیْسَ لَهُمْ مِنْ ذَلِکَ رُجُوعٌ، ... أَلَا وَ مَنْ أَنْفَقَ دِرْهَماً عَلَی عَزَائِهِ وَ زِیَارَتِهِ تَاجَرَتْ لَهُ الْمَلَائِکَهُ إلَی یَوْمِ الْقِیامَهِ فِیما یُنْفِقُهُ، وَ یُعْطِی بِکُلِّ دِرْهَمٍ سَبْعِینَ حَسَنَهً، وَ بَنَی اللَّهُ لَهُ قَصْراً فِی الْجَنَّهِ
Saahebe Zakhaa'aerul Afhaam ne Abdullah Bin Daa'oud se, seqah raawiyon se, Ibne Abbaas se rewaayat ki hai ke ounhon ne kaha :
... Jab Jibraeil Amin, Khodaa'ae buzurgh wa bartar ki taraf se naazil huae to kaha :
Ay Mohammad Khodaa'ae Ali wa aalaa aap ko salaam kah raha hai aur aap ko tahiy'yat aur aekraam se khaas kiya hai, aur aap se kahta hai ... apni azmat wa jalaal ki qasam mai oun (Faatemah) ki khaatir khaalis aur paako paakizah shion ko paida karun gaa, wo shia apna maal Husain (alaihis salaam) ki azaa me kharch karen ge aur Husain (alaihis salaam) ki zeyaarat ki raah me apni jaanen qurbaan karen ge aur apni majlison me oun ki azaa qaa'aem rakhen ge, oun ke liye sidqe dil se aansu bahaa'aen ge, sona kam kar den ge, aur wo apne is sheva ko na chhoden ge ... aagaah raho ke jo shaks Imaam Husain ki azaa aur zeyaarat ki raah me 1 dirham (yaani kam paise) bhi kharch kare gaa (to ouse 3 ajr wa badla mile ga)
- Farishte ous ke saath qeyaamat tak ke infaaq wa kharch karne ka sauda karen ge
- Har dirham ke badle me ouse 70 nekiyaan den ge
- Allah ous ke liye jannat me 1 mahal banaa'ae ga
(Tazallamuz Zahra p 70 wa 73 taaleef Maula Razi bin Nabi Qazwini)
Is hadise qudsi ka 1 misdaaq Imaam Husain (alaihis salaam) ka alaamati taabut outhaane par paise kharch karna hai keyon ke ye bhi azaadaari ka aek aham hissa hai
Di gaei headline par click kar ke jawaab ka padhna mofeed hai inshaa allah
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
26 / safar / 1447 H.Q
Jazak Allah khair
ReplyDeleteShukriya
DeleteIltemaase doa