Yazid Muawiyah ka beta nahi - Edaara-e-darul itrat
Jism par tel lagaane ke fawaa'aed | Lagaane ke auqaat | Ketni baar lagaa'aen aur kaun sa tel lagaa'aen ?

Wednesday, September 10, 2025

Yazid Muawiyah ka beta nahi

اردو میں پڑھنے کے لۓ یہاں دبائیں


باسمه جلت اسمائه
یا صاحب الزمان ادرکنا


Yazeed, Mu'awiya ka beta nahi


Mash'hur hai ke Yazeed paleed 14 Rabi ul awwal ko waasile jahannam huaa. socha tha ke is taarikh me Yazeed ke baare me likhun ke ous ka baap Mu'awiya nahi tha aur wo waladuz zena tha lekin meri ye khaahish puri na ho saki.
Aaj ki raat jab mahfil se aaya to is ke mota'alliq likhne ki taufiq huei.


Jaiysa ke arz kiya Yazeed, Mu'awiya ka beta nahi hai


Mowarrekheen ne likha hai ke Yazeed ki maa "Maysoon binte Bahdal (Bajdal) Kalbi" aek khubsurat aur badkaar aurat thi jis ne najaa'aez tariqe se Yazeed ko janam diya.


Jab Mu'awiya ne ous ki khubsurti ... ke baare me suna to wo ouse dekhe beghair ous ko chaahne laga, 52 saal ki oumr me ous ne apne mahel me bulaaya aur ous se shaadi kar li.


Jab "Maysoon" se Mu'awiya ne shaadi ki to wo kunwaari nahi thi, Yazeed ka nutfa thahar chuka tha. "Maysoon" apne baap ke ghulaam "Saffaah" ke saath najaa'aez ta'alluqaat qaa'aem karne ke baad haamela ho chuki thi, albatta haml ki neshaaniyaan zaahir nahi huei thin.


Maysoon se shaadi ke baad Yazeed paida huaa, haqiqatan wo "Saffaah" ke najaa'aez nutfe se tha.


Tajaarebus salaf, page 66-67 , sharhe ahwaale Yazeed, taalif Hindu'shaah Nakhjawaani, naashir Tahuri / Tehran


Waazeh rahe ke Maysoon ka qabila eisaa'ei tha


Yazeed Laanatullah Alayh ke waladuz zena hone ki taa'eid oun rewaayaat se bhi hoti hai jis me batlaaya gaya hai ke ambiyaa aur ounki aulaad ko qatl nahi karta sewaa'ae oun ke jo zena se paida huae hain yaa waladuz zena ki aek neshaani ye hai ke wo Ahlebait (Alayhemus salaam) ka dushman hoga


Note :


Qaa'aeda'ae Feraash [الوَلَدُ لِلْفِرَاشِ (kisi ke bistar par paida hona)] ke motaabiq Yazeed ko Mu'awiya ki taraf mansoob kar diya gaya keyon ke is qaa'aeda ki ru se agar zaani (baap) daawe daar na ho to bach'cha ous ka hota hai jis ke bistar par paida ho (yaani bach'cha saahebe feraash ka hoga, jis ki biwi hogi bach'cha ousi ka hoga)


Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadime edaara-e-darul itrat


16 / Rabi ul Awwal / 1447 H.Q

Shabe welaadat Baa'sa'aadat Rasule Akram aur Imaam Saadiq (Alayhemus salaam)

Urdu se Roman urdu me tabdil

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen