Sawaal az : mohtaram janab Syed Shozab Reza Sb
Slamun Alaikum
Meri posting mere Shahar se 30 km hai jaha mai roz aata jaata hun, mai roza rakhta hun keyon ki waha mera jana daily hai
Lekin abhi sirf 5 dino ke liye mujhe ek dusri jagah bheja gaya hai jo mere shahar se 35 km hai, waha se bhi daily aana jaana hoga
Keya us jagah pe mai poora roza rakh sakta hun ?
Jawaab zaroori hai
Jawaaab:
alaykum assalam wrwb
aap jis shahar me rah rahe hain agar ye aap ka watan hai to aap ka shumaar kasirus safar (bohot ziyadah safar karne walon) wa daa'aemus safar (hamesha safar karne walon) me hoga
aap ki namaaz har safar me puri hai aur roza sahih hai
agar ye shahar watan nahi hai to is surat me kam az kam eak saal 6 mahine (18 mahine) se yahan rah rahe hain ya rahne ka aeraada hai to ye hukme watan me hai yaani watan ki tarah hai yaha se bhi har safar me aap ki namaaz tamaam hai aur roza sahi hai
w.salam
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Abaad / Patna shob-e-sawaalaat Qum / Iran
16 / رمضان المبارک / 1438 ھ.ق
No comments:
Comment