Sawaal az : ..... / Chhapar (saran)
Salam alaikom
Ek sawaal ke agar kisi ka imtihan maahe ramzan me pad jaa'ae to keya hukm hai keya uska sahi hoga ya uski qaza karni padegi
Jawaab :
Alaykum assalam wrwb
aap ka sawaal waazeh nahi hai
bahar'haal agar imtehaan ka centre aiysi jagah hai jahaan aap 10 roz se kam rahen ge ya watan se jaana wa aana taqriban 44 ya 45 km. hai to is surat me mosaafir ka hukm jaari hoga yaani roza waajib nahi hai (mosaafir ke ahkaam zarur padh len)
agar aap ka sawaal ye hai ke roza ki wajah se imtehaan ki taiy'yaari mushkil hai to is ka jawaab ye hai ke imtehaan sabab nahi ke aap roza na rakhen lekin 2 kam kar sakte hain :
- qabl az zohar Ayatullah sistani ke motaabiq 22 km. aur baaz maraaje ke motaabiq 22.5 km. safar karen aur wahan kuchh khaa pi len phir waapas aa jaa'aen is surat me azaane maghrib tak oun chizon se parhez zaruri nahi hai jo roze ko baatil kar deti hain
- roza rakhen aur imtehaan ki taiy'yari karen ya imtehaan den agar is dauraan bhuk ya peyaas qaabile tahammul wa bardasht nahi to ba qadre zarurat khaa len ya pi len, maahe ramzaan hai to is surat me ba qadre zarurat khaane ya pine ke baad azaane maghrib tak mubtelate roza se parhez karen
tamaam suraton me baad me qaza rakhen
W.salam
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Abaad / Patna - shob-e-sawaalaat - Qum / Iran
No comments:
Comment