fitra kab waajib huaa ? is ki niyat keya hogi ? kab tak aur keya chiz dena behtar hai? kis surat me mezbaan par fitra waajib hoga ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Friday, June 23, 2017

fitra kab waajib huaa ? is ki niyat keya hogi ? kab tak aur keya chiz dena behtar hai? kis surat me mezbaan par fitra waajib hoga ?

Q.s from : Janaab Tabish Rizvi Sb - chapra (saran)


  1. Sawal

  2. Fitre se mota'alliq wazaahat chaahte hain. Aur tariqa ? Kaise aur kitna ?
    To Ek question hua hai yanha pe iska jawab dijiye


  3. Sawal

  4. Jese koi eid ki raat kisi ke yaha khaana khaaye to kya mezbaan pe waajib hai uska fitra nikaalna


Jawaab :


salam alaykum wrwb

  1. Ans :

  2. fitrah maali aebaadat hai, 2 hijri me jab maahe ramazaan ke roze farz qaraar diae ga'ae to ousi saal fitrah bhi waajib hua


    ye aek tarah ka sadqah hai, eide fitr ke din nikaalte hain is liae is ko fitrah kahte hain


    ba'qasde qurbat fitrah nikaalen, yaani Allah ke liae aur nikaalte waqt fitrah nikaalne ki niyat bhi karen


    agar koei namaaze eid padhe to aehteyaate waajib ye hai ke namaaz padhne ke pahle hi fitrah nikaal de wagar'nah zohr tak nikaal de


    3 kg gandum, aata, jaw, chaawal, makaei, khurma, kishmish etc mustahaq ko den ya 3 kg ki qimat den lekin behtar wa munaasib hai ke qimat hi den taa ke mustahaq log apni zarurat ki chizen kharid saken


  3. Ans :

  4. shabe eid sirf khaana khaane se mezbaan par fitrah waajib nahi hoga, agar aane waale (mehmaan) ka kharch mezbaan chalaata hai tab mezbaan par waajib hoga, meyaar wa kasauti ye hai ke jis ka kharch chalaata hai us ka fitrah kharch chalaane waale par waajib hai


    aek martaba khaana khaane waale (mehmaan) ka shumaar oun logon me nahi hoga jin ka kharch mezbaan chalaata hai


w.salam

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Abaad / Patna shobe sawaalaat Qum / Iran


29 / رمضان المبارک / 1438 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.