Eid se pahle fitra nikaal diya to keya hukm hai ? | 3 kg ghosht fitra de sakte hain ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Sunday, June 25, 2017

Eid se pahle fitra nikaal diya to keya hukm hai ? | 3 kg ghosht fitra de sakte hain ?

Sawaal az : .....


Salaam alaikum.


Que...


Agar mene fitra nikaal liya aur mujhe baad me pata chala ke kal Eid hai to mujhe wo hi pese Eid ki shab niyyat karni hogi ya dusra alag se pese nikaalna hoga pese mere pass hi he.


Taqlid : sistani sahab
khuda hafiz


Jawaab :


w.salam wrwb


paiyse badalne ki zarurat nahi hai balke oun hi paiyso par fitre ki niyat kar ke nikaal den
agar koei momin namaaze eid padhe to namaaze eid padhne se pahle fitra nikaale warna zohr tak nikaal de


Aek matlab ki wazaahat :


baaz momenin ke darmeyaan ye bahas garm hai ke 3 kg gosht ya ous ki qimat fitrah de sakte hain ya nahi ?


Jawaab :


ye baat naei nahi hai ahle ilm azim ketaab Ourwatul Wusqa (عروة الوثقى) se aagah hain takhriban saare maraaje isi ketaab ki matn wa aebaarat ko asl qaraar dete huae fatwe dete hain zakaat ki bahas me foqaha ne bahas ki hai ke gosht waghairah yaa is ki qimat fitra de sakte hain ya nahi ?


baaz foqaha farmaate hain nahi de sakte hain lekin baaz farmaate hain de sakte hain Aayatullah Sistani ke nazdik de sakte hain is liae ke ye bhi khoraak wa khaane me aata hai


Note :


gosht yaa is ki qimat aam tabqah nahi de sakta is liae ke mahnga hai lehaaza jo chiz sasti hai jaiyse gandum waghairah yaa is ki qimat den. saahebaane haisiyat se guzaarish hai ke wo chiz den jis me mustahaq momin ka faayda ziyaadah ho.


اجرکم علی الله


w.salam

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Abaad / Patna shobe sawaalaat Qum / Iran


30 / رمضان المبارك / 1438 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.