Sawaal az : .....
Salaam aleikum
Baligh hone ke baad jo roze menstruation ki wajah se rah jaate hain wo agar fauran nahi poore kar sake aur ab bohot saalon ke baad wo qaza roze ab poore karen to uske liye kya qaza roze rakhne ke baad kaffara bhi dena hoga ? agar haan to kitna ?
Periods wale qaza roze kaise poore karen ? uska kaffara bhi dena hoga ?
Jawaab :
Alaikumsalam wrwb
is dauraan jitne roze qaza huae hain oun ko rakhen aur roze rakhne ke aelaawah taakhir karne ka kaffaarah bhi den. har roze ke badle 750gm gandum ya aata ya roti ya jauw ya khurma ya chaawal, ya iske maanind faqir ko den
masalan 10 din ke roze qaza hain to 10 roze rakhen aur 10 adad 750 gm gandum waghairah faqir ko den
Rakhne ka tariqa :
- qaza rakhne me tartib shart nahi yaani pehle mahine ke roze rakhen phir dusre mahine ke wa tisre mahine ke ... aur na hi moaiy'yan karna zaruri hai ke kis din ka roza hai. masalan 60 roze qaza hai to qaza ki niyat se 60 roze rakh len kaafi hai.
- sardiyon me din chhote hote hain lehaaza is dauraan rakhne me aasaani rahe gi
Tawajjoh :
kaffara aur fitrah dene me faqir se moraad wo nahi jo bhik maangte hain balke moraad aiysa shia hai jis ka imaan 12 imaamon ki imaamat par ho aur is ke paas saal bhar apna aur apne ahlo ayaal ka kharch chalaane ke liae kuchh na ho (zaruratmand ho) is ke paas aetna nahi ke saal bhar ka kharch chala sake ...
jis ki aamdani kam ho aur zindagi ka zaruri kharch zeyaada, jis ki wajah se har roz ka kharch nahi chala sakta
aiysa faqir jo kaam wa ... ke zariae apna aur apne bach'chon ka kharch chala sakta hai lekin kaaheli aur susti ki wajah se kaam na kare to is ko fitrah aur kaffaarah nahi de sakte
W.salam
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad/ Patna- shoba-e-sawalaat Qum / Iran
6 / ﺭﺑﯿﻊالاول / 1437 ھق
No comments:
Comment