Keya ghair syed ka fitrah saadaat ko diya ja sakta hai ? hatta ghair syed saadaat ka fitrah nikaale tab bhi nahi de sakte ? - Edaara-e-darul itrat
Jism par tel lagaane ke fawaa'aed | Lagaane ke auqaat | Ketni baar lagaa'aen aur kaun sa tel lagaa'aen ?

Monday, June 26, 2017

Keya ghair syed ka fitrah saadaat ko diya ja sakta hai ? hatta ghair syed saadaat ka fitrah nikaale tab bhi nahi de sakte ?

Sawaal az : .....


Salamun Aalaikum... hum mumbai se hai Agha Sistani ki taqleed me hai aur hamaara sawaal hai ke tauzihul Masaa'ael me point 2017 (English version) me joh zikr hai bare tafseel aur...
kya Syed koi ghair Syed ko de sakta hai fitra ?


Jawaab :


Alaykum assalam wrwb


Agar koei syed nahi hai wo syed ko apna fitrah nahi de sakta lekin syed, ghair syed aur syed dono ko de sakta hai


Tawajjoh :


Masalan biwi syed hai aur shauhar ghair syed ya aiysa syed mehmaan jis ka fitrah ghair syed saahebe khaana (mezbaan) par waajib hai in ka (syed biwi wa syed mehmaan) ka fitrah bhi syed ko nahi diya ja sakta hai (is liye ke fitrah nikaalne waala ghair syed hai, fitrah nikaalne waale ko madde nazar rakha jaa'ae ga ke syed hai ya ghair syed)


Note :


Haqiqi islaam me har aek ka haq moaiy'yan hai, masalan syed ke liye sahme saadaat hai to ghair syed ke liye zakaat


W.salam

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Abaad / Patna - shob-e-sawaalaat Qum / Iran


Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen