sawaal az:......
Bismillahir Rehmanir Raheem.
- Sadqa 5 Qism ka hota hai Pehle Qism ka kis tarah ka hota hai ?
- Chautha sadqa kis qism ka hota hai ?
- Paanchwa sadqa kis qism ka hota hai ?
Wo sadqa jo ghareeb rishtedaro ko diya jaye 700 hazar guna Sawaab Rakhta hai.
Waaledain ko diya jaane wala Sadqa 70000 hazar guna Sawaab rakhta hai.
Salamun alaikum wrb
Maulaana ye waaledain ko sadqa dena kya hai ?
Iski kuchh wazaahat bataiye main nahi samjha
Jawaab:
Alaikum assalam wrwb
shar'ei lehaaz se sadqah ki 2 qismen hain :
- waajebi sadqah jaise khums, zakaat aur fitrah etc
- mustahabbi sadqah : ye insaan par waajib wa zaruri nahi hai balke khud se apne maal ka kuchh hissa dusron ko de
mustahabbi sadqah waaledain ko de sakte hain ye waaledain ke saath aehsaan wa infaaq hai is me azim ajr wa sawaab hai
mustahabbi sadqah me lene wale ke liae faqir ( mustahaq ) hona zaruri aur shart nahi hai
lekin waajebi sadqah nahi de sakte is liae ke jis tarha biwi aur aulaad ka kharch chalaana waajib hai isi tarha waaledain ka bhi kharch chalaana waajib wa zaruri hai ye waajebun nafqah hain, kharch chalaana aur maali madad karna ... bete par waajib wa farz hai lehaaza in ka shumaar faqir ( mustahaq ) me nahi hoga jab faqir me shumaar nahi huaa to waajebi sadqah nahi de sakte hain lekin agar bete ki maali haalat aisi nahi hai ke kharch chala sake to sharaa'aet ke motaabiq de sakte hain
Note :
sadqah ke baare me tafsili jawaab de chuka hun agar audio mil gaei to insha'allah irsaal kar di jaa'ae gi
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaar-e-darul itrat Azim abad / Patna shobe sawalat Qum / Iran
۔7 / جمادی الثانی /1438 ھ.ق
Subscribe us on youtube