Maahe ramzaan me lmaam ali kis rang ka aemaama pahne huae the? kaala borqa | kapda pahan kar namaaz padh sakte hain ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, October 28, 2017

Maahe ramzaan me lmaam ali kis rang ka aemaama pahne huae the? kaala borqa | kapda pahan kar namaaz padh sakte hain ?

Sawaal az : mohtaram janaab Feda Hussain Sb. (Saran - Bihar)


do sawaal hai apse hamko maalum karna hai


sawaal ramazaan ke month me maula Ali kon sa aemaama pahna karte the white ya black ya green uski wajhe kya thi dusra sawaal mera ye hai ki black kapda pahan kar namaaz padh sakte hai ya nahi ? mai sayed feda husain katokhar dis Chapra- saran / Bihar


Jawaab :


salam alaykum

Ans - 1 :


taarikh aur mokhtalif rewaayaat ke motaabiq Rasule Geraami, Hazrat Ali (علیہ السلام) aur dusre Imaam kaala aemaamah pahante the, rewaayat wa taarikh me ye bhi hai ke Bani Omaiy'yah aur Bani Abbas jaiyse dushman ne apne liae jis rang ka intekhaab kiya tha ous rang ka aemaamah imaamon ne is liae nahi pahna ke aiysa na ho oun ki hemaayat wa tarafdaari ho jaa'ae lehaaza is waaste aur taqiyah ki khaatir dusre rang ka bhi aemaamah pahna, jaiyse pila, hara aur safed


maahe ramazaan me aur waqte zarbat kis rang ka aemaamah tha is ke baare me mujhe nahi maalum lekin taarikh aur rewaayaat ko mad'de nazar rakhte hue kaha ja sakta hai ke kaala aemaamah tha bahar haal maahe ramazaan me kis rang ka aemaamah pahna ? is ke jaan'ne ka koei faa'aedah nahi aur na jaan'ne ka koei noqsaan nahi


monaasib hai ye bhi bata dun ke maahe ramazaan me Amirul Momenin Ali (علیہ السلام) ki shahaadat ke mauqe par social media par aek aiysa aemaamah dekhaaya gaya jis par talwaar ka neshaan aur khun ke dhabbe hai, is ke bare me kaha gaya ke ye Amirul Momenin Ali (علیہ السلام) ka aemaamah hai, is me koei haqiqat nahi, ye aemaamah photoshop hai, is liae ke Ibne Muljim ki zarbat ka asar maula ki peshaani tak tha lekin aemaamah par sat'hi zarb dekhaa'ei gaei hai, dusre ye ke maula ka aemaamah aap ke asl waaris Imaame Zamaana (عجل الله فرجہ) ke paas hoga, in logon ko kaiyse mil gaya !!!


Ans - 2 :


  1. Rahbare Inqelaab aur Aayatullah Wahid Khorasani :

  2. padh sakte hain lekin makruh hai


  3. Aayatullah Sistani wa Makarim :

  4. namaaz ki haalat me hon ya na hon, dono surat me makruh nahi hai (karaahat saabit nahi hai)


Note :


  1. jo maraaje farmaate hain namaaz me kaala lebaas pahen'na makruh hai is se moraad ye hai ke namaaz ke sawaab ko kam kar deta hai

  2. rewaayat me hai tin chizon ko pahen'na har haal me makruh nahi hai :

  3. kaale jute
    kaala aemaamah
    kaali aba (reda)


    burqa (hejaab), reda hi ki tarah hai lehaaza khawaatin namaaz ki haalat me hon ya na hon kaala burqa (hejaab) istemaal kar sakti hain, makruh nahi hai


  4. maujudah taqriban tamaam maraaja'ae keraam ke nazdik Maasumin (علیہم السلام) ke gham makhsusan maahe moharram wa safar me kaale kapde pahen'na makruh nahi hai balke pasandidah kaam wa baa'aese ajro sawaab hai

W.salam

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Abaad / Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


8 / صفر / 1439 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.