keya roze aashura imaam husain ne namaaze zohr | asr padhi ya namaaze khauf ? keya abu somaama ne imaam ko namaaz ka waqt yaad dilaaya ? | asl jang zohr ke baad keyun shuru huei ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Friday, March 19, 2021

keya roze aashura imaam husain ne namaaze zohr | asr padhi ya namaaze khauf ? keya abu somaama ne imaam ko namaaz ka waqt yaad dilaaya ? | asl jang zohr ke baad keyun shuru huei ?

Sawaal az : +9178.......


Salamun Alekum Agha ...


Apne Ilm Mai Izafa Karne Ki Gharz Se Aapse Ek Islah Ki Iltemaas Hai ...


"Kya Roz'e Ashoora Namaz'e Zohrain Ada Ki Gai Thi Ya Sirf Namaz'e Zohar ?


Aur Agar Namaz'e Zohar Ada Karne Ke Baad Tamam Janisaar'e Imam'e Mazloom'e Karbala (as) Shahadat Ka Jaam Nosh Kar Chuke ....

Lekin Imam'e Mazloom'e Karbala (as) Ne Waqt'e Asr Sajda'e Shukr Me Shahadat Paai Hai Aur Sajda'e Shukr Agar Asr Ki Wajib Namaz Ka Tha To Namaz'e Asr Imam Hussain (as) Ne Maidaan Me Ada Ki Ya Khaime Me Aakhir Rukhsati Ke Waqt ?


Agha Aapse Islah Ki Iltemaas Hai Allah Aapko Ajr'e Azeem Ata Kare


Jawaab :


باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

Maiydaan-e-jang me sharaa'aet ke motaabiq namaaz-e-khauf (نماز خوف ) yaani namaaz-e-jang padhi jaati hai lehaaza imaam-e-hussain ( عليه السلام ) ki imaamat me namaaz-e-zohr ba'surate namaaze khouf ada ki gaei

namaaz-e-asr padhne ke ta'alluq se mujhe kahin nahi mila maqaatil me likha hai ke imaam hussain ( عليه السلام ) waqt-e-asr shahid ho gae the lehaaza namaaz-e-asr aap se saaqit thi waajib hi nahi thi ke padhte


farz kar len ke padhi to is namaaz ke aamaal wa arkaan waghairah namaaz-e-khouf ki tarah nahi the ye namaaz jamaa'at se nahi huei hogi aur haalaat ke peshe nazar aeshaare se hi padhi hogi


bahar haal imaam (عليه السلام ) aaiyn namaaz hain, mojassam-e-namaaz hain aap ko maalum tha ke mujhe keya karna hai


Note :


1. Namaaz-e-khauf :


ye namaaz misle namaaz-e-subh wa namaaz-e- mosaafir 2 rak'at hai mojaahid, mosaafir ho ya na ho 2 hi rak'at hai

waise to imaam hussain ( عليه السلام ) aur aap ke hamraah sar'zamin-e-karbala par waarid hone waalon ki namaaz qasr hi thi is liae ke 8 roz se zeyaadah nahi the

is namaaz ko jamaa'at se padhne ka makhsus tariqa hai.

mazid tafsil ke liae surah-e-nesa aayat 102 dekh len


2. asl jang zohr ke baad keyaun huei :


islaam me zohr ke pahle jang wa jehaad karna makruh hai lekin zohr ke baad mustahab hai

albatta agar dushman hamla kare to zohr ke pahle defaa karna zaruri hai

iska raaz wa hikmat ye hai ke zohr ke waqt rahmat-e- khoda ke darwaaze khule hain lehaaza agar kuffaar-o-mushrekin chaahen to khoda oun ki hedaayat kar sakta hai haq qabul kar len aur jang na ho be'gunaah logon ka khun na bahe

isi liae saiyyedush-shohada imaam hussain ( عليه السلام ) khud baad az zohr maiydaan-e-jang me jehaad ke liae gae zohr ke pahle as'haab ne defa zarur kiya lekin khud imaam hussain (عليه السلام ) ne namaaz ke baad jehaad kiya taake shaayad zaalemin ki hedaayat ho jaae


abu somaamah saa'aedi (ابو ثمامہ صائدی ) ne waqte zohr imaam (عليه السلام ) se kaha shahaadat ke pahle aap ki imaamat me aakhri namaaz padhna chaahta hun

to imaam (عليه السلام ) ne doa di aur farmaaya :


... ذكرت الصلاة ...

"...tum ne namaaz ko yaad kiya yaa dusron ko yaad dilaaya tumhaara shumaar namaaziyon me ho..."


tiron ki baarish me namaaz jamaa'at ke saath padhi gaei phir baa'qaaeda jang shuru ho gaei


Wazaahat :


is jumle "... ذكرت الصلاة ... " ko 2 tariqon se padh sakte hain :


1. " ذَكَرتَ الصَّلاةَ " ( zakar tas salaat )


2. " ذَكَّرتَ الصَّلاةَ " ( zakkar tas saalaat )


pahli surat me matlab huwa tum ne namaaz ko yaad kiya aur dusri surat me matlab huwa tum ne dusron ko namaaz yaad dilaaya ( imaam ke hamraah dusre as'haab bhi the)


lehaaza jo log is ka tarjuma karte hain ke abu somaamah ne imaam (عليه السلام ) ko namaaz yaad dilaaya ghalat hai jo khud namaaz ho ous ko kon namaaz yaad dilaa'ae ga !


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran


۔22 / ربيع الثانى / 1440ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.