Keya gunaah gaar syed ka aehteraam karna laazemi hai ? - Edaara-e-darul itrat
Jism par tel lagaane ke fawaa'aed | Lagaane ke auqaat | Ketni baar lagaa'aen aur kaun sa tel lagaa'aen ?

Thursday, January 10, 2019

Keya gunaah gaar syed ka aehteraam karna laazemi hai ?

Sawaal az : Mohtaram Janaab Abbaas Sb (Delhi)


  1. Keya syed gunaah gaar ki izzat laazmi hai dena aur ummat se ziyada afzal hai syed ? aur keya Bani Hashim bhi syed hote hai jese Janabe Abbas ki nasle wo bhi syed hain.
    Reference ke sath jawaab de please

  2. Maulana sahab... hashimi bhi syed hote hai aur agar hote hai to Hazrat Abdul Muttalib ke bete Hazrat Abbas a.s ki aulad bhi syed hui phir ?

Jawaab :


باسمه تعالى
سلام عليكم


Islaam ek aiysa deen hai jis me tamaam insaanon hatta ghair muslim ka bhi aehteraam karne ke liye kaha gaya hai lekin in ke darmeyaan musalmaanon ke aehteraam ka zeyaadah qaa'ael (قائل) hai aur musalmaanon ke darmeyaan momenin ka aehteraam karne ke liye khosusi taur par kaha hai.


Albatta momenin ke darmeyaan jo log Rasule Akram aur aap ki beti Janaabe Faatemah (سلام الله علیھم) ki nasl se hain oun ka aehteraam wa izzat karne ki bohot zeyaadah sefaarish wa taakid ki gaei hai.


Aayaat wa motabar rewaayaat ke motaabiq saadaat ka aehteraam har musalmaan par waajib hai.


Imaame Khumaiyni (رحمةالله عليه) ke daamaad Aayatullah Shaikh Shahaabuddin Ishraaqi ke baare me mokhtalif olama se suna hai ke aap ghair az waqte khaab kabhi bhi apni biwi ke saamne pair nahi phailaate the, apni saidaani sharike hayaat ka is tarah aehteraam karte the.


Saadaat ka aehteraam aek fitri amr wa aam baat hai. agar koei kisi se mohabbat karta hai ya mohtaram shakhsiyat hai to ous ki aulaad ka bhi aehteraam karta hai. saadaat ka aehteraam dar waaqe Rasule Khoda aur Janaabe Faatemah (صلوات الله عليهم) ka aehteraam hai, in hastiyon ki wajah se saadaat mohtaram hain.


Saadaat ka aehteraam in se mohabbat ki neshaani wa alaamat hai.


Is me koei shak nahi ke syed ka aehteraam laazim wa zaruri hai lekin aiysa nahi hai ke syed hone ki wajah se syed ka jo dil chaahe wo kare.


Balke tamaam ahkaam, waajebaat aur moharremaat waghairah ki re'aayat aek aam insaan ki tarah is par bhi waajib hai. Is aetebaar se sabhi mosaawi wa baraabar hain koei mo'aaf nahi hai.


Syed ko to in baaton ki zeyaadah re'aayat karni chaahiye aur gunaah nahi karna chaahiye is liye ke Rasule Khoda aur Janaabe Faatemah (سلا م الله عليهم) se mansub hai lehaaza zimmedaari sangin hai.


Qur'aan me hai :


"Ay Nabi ki biwiyo! Tum me se jo koei sarih be hayaa'ei ki murtakib ho jaa'ae ouse dugna azaab diya jaa'ae ga ... aur tum me se jo Allah aur ous ke Rasul ki aetaa'at kare gi aur nek amal anjaam de gi ouse ham ous ka dugna sawaab den gen ..."


(Ahzaab 30-31)


Nisbat ki wajah se jab Nabi ki biwiyo ke saath aiysa hai to badarja'ae aula (بدرجئہ اولی) jo Rasule Khoda ki nasl se hai, aap ki aulaad hai ouse gunaah karne par dugna azaab diya jaa'ae ga


Imaame Baaqir (علیه السلام) ne aek aiyse shia se farmaaya jo gunaah me mubtala tha :


"Neki karna sab hi se behtar hai, lekin tumhaara karna zeyaadah behtar hai, is liye ke tum mujh se zeyaadah nazdik ho aur buraaei karna sab hi se bura hai lekin tum karo to zeyaadah bura hai (is liye ke mujh se qarib ho)"


Abu Lahab Rasule Khoda (صلوات الله علیهم) ka chacha tha aur saiyed bhi, lekin ous ke baare me qur'aan ne kaha :


"wo an'qarib bhadakti (بھڑکتی) aag me jhulse ga"


(Surah lahab)


Janaabe Nuh ke beta ke baare me kaha :


"Ay Nuh ! beshak ye aap ke ghar waalon me se nahi, ye ghair saaleh amal hai (yaani naa laa'aeq hai)"


(Hud - 46)


Lehaaza saiyed hona kaafi nahi hai, is waqt bhi bahot saare saiyed aiyse hain jo Rasule Khoda aur Janaabe Faatemah (صلوات الله علیهم) ki nasl se hone ke baawojud aap se bughzo aenaad rakhte hain aur aap ke dushmano wa qaatelin se mohabbat karte hain aur naa'ranji kapde pahen kar buton ki puja karte hain, aiyse saadaat ka anjaam Abu Lahab aur Farzande Janaabe Nuh ki tarah hi ho ga.


Albatta aiysa saiyed jo gumraah nahi hua hai, Ahlebaite Ismato Tahaarat ke raaste se nahi hata hai lekin gunaah gaar hai to is ka aehteraam Rasule Khoda (صلوات الله علیهم) ki wajah se karna chaahiye.


Rasule Akram (صلی الله علیه و آله) ne farmaaya :


اَکرِمُوا اَولَادِی الصَّالِحُونَ لِلّه وَالطَّالِحُونَ لِی


"Meri nek wa saaleh aulaad (saadaat) ka aehteraam khoda ke liye karo aur bure saadaat ka meri khaatir (yaani Rasule Khoda se mansub hai) is liye aekeraam karo


Baaz jagah اکرموا (akremu) ki jagah احبوا (ahabbu) bhi hai , yaani saadaat se mohabbat karo ...


kholaasa'ae Jawaab :


Agar aap ke aehteraam karne se gunaah karna tark kar de to zarur gunaah gaar saiyed ka aehteraam wa izzat karen, lekin agar aap ke aehteraam karne se ous ke gunaah ki taa'eid wa hausala afzaaei ho ya mazid gunaah karne ki jasaarat kare to aehteraam karna jaa'aez nahi hai


Note :


Dusre sawaal ka jawaab niche di gaei headline par click kar ke molaaheza farma len



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


3 / ربیع الثانی / 1440 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen