Syed kaun log hain ? kis ko syed kahna durust hai ? - Edaara-e-darul itrat
Jism par tel lagaane ke fawaa'aed | Lagaane ke auqaat | Ketni baar lagaa'aen aur kaun sa tel lagaa'aen ?

Sunday, January 13, 2019

Syed kaun log hain ? kis ko syed kahna durust hai ?

Sawaal az : Mohtaram Janaab Abbaas Sb (Delhi)


  1. Sawaal:

  2. Ke syed gunahgar ki izzat lazmi hai dena aur ummat se ziyada afzal hai syed ? aur kya Bani Hashim bhi syed hote hain ? jese Janabe Abbas ki nasle wo bhi syed hai.
    Reference ke sath jawab de please


  3. Sawaal :

  4. Maulana sahab... hashimi bhi syed hote hai aur agar hote hai to Hazrat Abdul Muttalib ke bete Hazrat Abbas a.s ki aulad bhi syed hui phir ?


Jawaab :


باسمه تعالى
سلام عليكم


Aap ke pahle sawaal ka jawaab 3 rabius'saani ko de chuka hu Molaaheza farmaa'aen :



Syed wo hain jin ka silsila'ae nasab baap ki taraf se Janaabe Haashim Bin Abde Manaaf [Hazrat Rasule Khoda aur Amirul Momenin Ali (صلوات الله عليهم) ke par'daada] tak pahonche.


Pas jis ka bhi nasab naama Janaabe Haashim Bin Abde Manaaf ya in ke farzandon jaiyse Hazrat Abdul Muttalib tak pahunche syed hain.


Lehaaza Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ke haqiqi chacha Janaabe Abu Taalib, Janaabe Abbaas, Janaabe Hamza, sabhi syed hain.


Rasule Akram (صلى الله عليه وآله) ke chacha Janaabe Abbaas ke farzand jin ko Banul Abbaas kahte hain syed hain is liye ke Janaabe Haashim ki aulaad me the.


Isi tarah Hazrat Abu Taalib ke farzand Janaabe Taalib, Aqil, Jaafare Taiy'yaar, Amirul Momenin Ali (عليه السلام) aur aap hazaraat ki aulaade zokur wa aenaas sabhi syed hain.


Farzandaane Janaabe Haashim ko syed aur Banu Haashim dono kahte hain.


Rasule Geraami (صلى الله عليه وآله) ki nasl, aulaade narina se nahi chali is liye ke aap ki aulaade zokur ka inteqaal bach'pan me hi ho gaya tha
lehaaza aap ki nasl sirf aap ki beti Janaabe Saiyedah (سلام الله عليها) se chali.


11 Imaam aur Janaabe Zaiynab wa Umme Kulsum (سلام الله عليهم) ka silsila'ae nasab Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ke zariye Janaabe Haashim tak aur Janaabe Saiyedah (سلام الله عليها) ke zariye Rasule Maqbul (صلى الله عليه وآله) tak pahunchta hai.


Isi liye aap hazaraat ki aulaad ki seyaadat zeyaadah mash'hur hai aur momenin ke darmeyaan bahot mohtaram hain.


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


4 / ربيع الثانى / 1440ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen