agar koei khaatun apne shauhar ke ghar se maiy'ke jaa'ae to keya wahaan namaaz puri hai aur roza rakhna sahih hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Thursday, May 30, 2019

agar koei khaatun apne shauhar ke ghar se maiy'ke jaa'ae to keya wahaan namaaz puri hai aur roza rakhna sahih hai ?

sawaal az : .....


Salamun alaikum


Agar koi ladki apne susraal se 10 din se kam ka qasd kar ke apne maa baap ke ghar aaye to uske rozey namaz ka kya hukm hai
susraal se maeke ka faasla sharayi faasle se zyada hai
Zahmat hogi jawab ata farmay
Mayeka uska jaae paidayish bhi hai


Baraae karam naam aur number share na kijiega


Ayatullahil uzma sistani


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


aap ne aeshaara farmaaya ke ladki ka maiyka ladki ki jaa'ae paiydaaeish bhi hai to is surat me agar jaa'ae paiydaaeish se aeraaz (اعراض) wa ru'gardaani na ki ho aur aehtemaal deti hai ke aaeindah laut kar aa'aen ge aur wahaan dobaara zindagi guzaare wa basar karen ge (yaani rahaa'eish wa sokunat ka aeraadah ho) to jab bhi maiyke aa'ae namaaz puri hai aur roza sahih hai


Note :


  1. aeraaz ka matlab ye hai ke koei apne watan se chala gaya ho is qasdo aeraade se ke dobaara wahaan rehaa'eish wa sokunat ke liae laut kar nahi aa'aen ge

  2. agar maiyka ladki ki jaa'ae welaadat nahi hai ya jaa'ae welaadat hai lekin wahaan se aeraaz wa ru'gardaani kar li ho to dono surat me namaaz qasr hai aur roza sahih nahi hai magar ye ke 10 roz rukne ka aeraada kare

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


25 / رمضان الكریم / 1440 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.