Sahari khaane ka aakheri waqt azaane subh hai ya toluae fajr ? | keya sahari wa iftaar ke naqsha-e-auqaat ke motaabiq amal kar sakte hain ? | keya sahari khaana zaruri hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Friday, May 10, 2019

Sahari khaane ka aakheri waqt azaane subh hai ya toluae fajr ? | keya sahari wa iftaar ke naqsha-e-auqaat ke motaabiq amal kar sakte hain ? | keya sahari khaana zaruri hai ?

Sawaal az : +9198......


Salaamunalaikum Agha
Sab khairiyat


Mera Ek Sawaal tha
kya hum Sehri ke waqt agar nahi uth paaye maslan 2 ya minute pehle uth jaaye toh kya hum sehri fajr ki azàan se pehle tak kha sakte hai ya diye gaye sehri ke time tak hi khaana hai ?


Please reply dijiyega.
Inshallah Aaj jawaab mil jaaye toh acha hoga.inshallah


Jawaab:


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمد لله


Azaane subh wa tarke sahari ka waqt aw'wale tolu'ae fajr (اول طلوع فجر) hai, tolu'ae fajr ko subhe saadiq wa fajre saadiq bhi kahte hain


nisf shab se baad ka waqt hai, jab fajr ki safed dhaari (safed nur ki lakir) raat ki seyaah (سیاہ) dhaari (دهاری) se namudaar wa zaahir ho jaa'ae to ye azaane subh wa tarke sahari ka waqt hai


azaane subh wa tarke sahari ke liae shar'ei meyaar aw'wale fajre saadiq hai


lehaaza agar azaane subh tolu'ae fajre saadiq ke aaghaaz hi me ho yaani subhe saadiq hote hi azaan hone lage to kuchh bhi khaa pi nahi sakte hain


agar muh (منہ) me kuchh hai to fauran nikaal den, agar jaan bujh kar nigal ga'ae to roza baatil hai aur qaza wa kaffaarah dono waajib hai


agar azaane subh apne shar'ei waqt par yaani fajre saadiq ke hote hi ho rahi hai to ous ke pahle tak khaa pi sakte hain halaal hai


Albatta foqaha farmaate hain :


aehteyaat ke taur par tolu'ae fajr ke kuchh pahle hi sahari khaana tark kar den


Sahar wa iftaar ke auqaat ka naqsha :


agar ous me tarke sahari ka waqt tolu'ae fajr ke motaabiq likha hai to ous ke pahle tak khaa pi sakte hain agar jaan bujh kar ous ke baad khaaya ya piyaa to roza baatil hai aur qaza wa kaffaarah waajib hai


albatta baaz auqaate sahar wa iftaar ke naqshe me 3 ya 5 minute ki aehteyaat shaamil rahti hai yaani tarke sahari ka waqt aehteyaat ke taur par 3 ya 5 minute pahle wa jaldi likha rahta hai


agar naqsha is tarah tartib diya gaya hai to jetni aehteyaat shaamil hai (3 ya 5 minute) ousi meqdaar baad tak kha pi sakte hain, roza sahi hai is liae ke abhi subhe saadiq nahi huei hai


Note :


  1. sahari khaana zaruri nahi hai balke maahe ramzaan ke rozo'n ke liae mustahab wa behtar aur baa'aese sawaab hai

  2. surah baqarah aayat 187 dekh len

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


5 / رمضان الكريم / 1440ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.