Pet ke mariz ya dusre marizon ke liae roza rakhne ka keya hukm hai ? aur noqsaan deh hone ki suraten - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Sunday, May 12, 2019

Pet ke mariz ya dusre marizon ke liae roza rakhne ka keya hukm hai ? aur noqsaan deh hone ki suraten

Sawaal az : .....


Salam


Meri walda ko pet ki bimari hai aur wo roza rakhti hai to unko problem badh jaati hai agar wo chhor pakar ke roza rakhti hain to kya wo kaffara nikal sakti hai.


Regards,

Iqbal hasan | Sibtainha.....@gmail.com


Jawaab :


باسمه تعالى
علیكم السلام و رحمةالله و بركاته


agar roza noqsaan wa zarar deta ho aur zarar wa noqsaan is tarah ho ke aam taur par qaabile bardaasht nahi, yaani roza rakhne ki taaqat nahi to roza rakhna sahih nahi hai (jaa'aez nahi hai)


Noqsaan wa zarar ki chand suraten hain :


  1. sehat ke liae mozir ho

  2. maraz ke badhne ka khatra ho yaani roze ki wajah se mariza (mariz) ki tabiyat zeyaadah kharaab hone ka qawi andesha ya hatta gumaane ghaalib ho

  3. der se tandurust hone ka andesha ho

  4. taklif wa bimaari me shiddat wa sakhti ho

  5. in tamaam suraton me roza rakhna sahih nahi hai


jetne roze chhute hain tandarust wa sehat'yaab hone ke baad oun ki sirf qaza waajib hai, kaffaarah nahi hai, ba'sharte ke dusre maahe ramzaan ke pahle rakh len


lekin bimaari ka silsila lagaataar dusre maahe ramzaan tak raha to qaza waajib nahi hai sirf har din ke badle me taqriban 750 gr ta'aam faqir ko fidya (kaffaarah) den


Note :


  1. aap ki waaledah ko jetne roze rakhne me koei zarar na ho outne hi rakhen

  2. ta'aam se moraad :

  3. gandum yaa jaw yaa roti yaa khurma yaa aalu yaa gosht yaa macaroni yaa is ke maanind chizen faqir ko den


  4. faqir se moraad :

  5. is ke liae niche recommend kiae ga'ae jawaab ke "Note" me No. 2 ko padh len



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


7 / رمضان الکریم / 1440 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.