zakaat ka mtlab | is ki qismen | zakaat wa fitrah me farq - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Sunday, July 14, 2019

zakaat ka mtlab | is ki qismen | zakaat wa fitrah me farq

Sawaal az : mohtaram janaab Gulzar Ahmad sb


Asalam alaikum


Janaab zakaat, zakaate fitra aur fitra main kya farq hai ?


Aap ka mamnoon
Gulzar ahmad


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Zakaat ki do qismen hain :


  1. maal ki zakaat :

  2. ye 10 chiozon me nikalti hai (tafsil ke liae tauzihul masaa'ael me ahkaame zakaat dekh len)


  3. badan ki zakaat :

  4. ye wahi fitrah hai is ko afraad ki zakaat bhi kahte hain


    lafze zakaat aam wa kulli hai, zakaate maal wa fitrah is ke masaadiq me se hain yaani zakaat ka eitlaaq zakaate maal aur zakaate badan donon par hota hai


    zakaate maal wa zakaate afraad zakaat ki aqsaam hain


Mokhtasar wazaahat :


zakaat islaam ke faraa'aez me se aek aham tarin fariza hai, fiqh me is ko "waajib sadqah" bhi kahte hain


Loghawi aetebaar se zakaat ka lafz 2 maano me istemaal kiya jaata hai :


  1. afzaa'eish (yaani aezaafa wa barkat)

  2. tahaarat wa paakizagi

  3. maal me zakaat nikaalne se maal kam nahi hota, ous me kami nahi aati balke badhta hai, barkat hoti hai aur maal paak bhi ho jaata hai
    isi liae ous ko zakaate maal kahte hain


    zakaate fitrah bhi baa'aese tahaarat wa tazkiya'ae nafs hai, razaa'ael se nafs paak hota hai dar haqiqat ye nafs ki bhi zakaat hai


    aur neki me afzaa'eish ka sabab banti hai is liae bhi eise zakaat kaha jaata hai
    zakaat ko zakaat kahne ki wajah yahi hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


6 / ذيقعده / 1440 ھ.ق

Subscribe us on youtube


No comments:

Comment

.