Janaabat | maahwaari ki haalat me qabristaan | masjid | imaam baade me jaane | faateha padhne ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Sunday, July 14, 2019

Janaabat | maahwaari ki haalat me qabristaan | masjid | imaam baade me jaane | faateha padhne ka hukm

Sawaal az : +91 937.....

Salam


kya hum halate janabat me kabristan ya masjid ya imambada me dakhil ho sakte hain

Kya hum halate janabat me fateha padh sakte hain


Jawaab :


باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Qabristaan me jaa sakte hain


masjid me tawaqquf ( tha'harna = ٹھہرنا ) haraam hai

albatta guzarna jaise aek darwaaze se daakhil hon aur dusre darwaaze se nikal jaa'aen to is me koei haraj nahi hai jaa'aez hai


imaam baade me daakhil ho sakte hain aur ruk bhi sakte hain, shar'ei aetebaar se jaa'aez hai


albatta imaam bada moqaddas jagah hai, aisi jagah hai jo Maasumin ( عليهم السلام ) se mansub hai is me mahaafil 

-o-majaalis hoti hain lehaaza is ki be'aehteraami jaa'aez nahi hai


ji faateha padh sakte hain


lekin jin aayaat par sajdaah waajib hai oun ko nahi padh sakte hain wo 4 hain

7 aayaat se zeyaadah padhna makruh hai yaani sawaab kam hai


Note :


jo ahkaam bayaan kiae ga'ae wo oun auraton ke liae bhi hain jo haalat-e-janaabat me hain ya haalat-e-maahwaari wa nefaas me hain


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padhna mofid hai انشاءااله


  1. Maahwaari ke dinon me majlis padhne | mimbar par baithne | masjid me jaane ka hukm

  2. maahwaari ke dinon me keya karna haraam hai ? | aamaale shabe qadr | qur'aan | doa padhne ka hukm

Mazid tafsil ke liae site ke "MENU" me JANAABAT & HAIZ ka shoba dekh len


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aazim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


7 / ذيقعده / 1440 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.