halaal jaanwar ke, haraam | halaal | makruh aaza kaun se hain ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Sunday, August 11, 2019

halaal jaanwar ke, haraam | halaal | makruh aaza kaun se hain ?

Sawaal az : +9177........


Salamun alaukum


Agha mera sawal yeh hai ki halal chupai janwar ke kaun kaun se hisse halal makruh aur haram hain mai agha sistani sahab ka mukkalid hun.


Iltemase dua Khuda hafiz


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Chaupaa'ae (چوپائے) ke 14 aaza wa ajza haraam hain yaani khaana haraam hai


  1. khun
  2. paa'khaana (پاخانہ)

  3. [halaal jaanwar hatta ount (اونٹ) ka peshaab pina be'naabar aehteyaat-e-waajib haraam hai lekin aelaaj ke liae ount, gaae, bail aur gosfand ka peshaab pine me haraj nahi hai yaani pi sakte hain]


  4. nar ka aala'ae tanaasul (عضو تناسل)
  5. maada ka aalaa'e tanaasul (مادہ کا عضو تناسل)
  6. bach'cha daani (rahim)
  7. jism ki gaanth (گانٹھ)، gilti
  8. khusye (خصیے = fote = kapure = testis)
  9. wo chiz jo bheje me hai chhote daane ki tarah aur chane ke baraabar
  10. haraam maghz (حرام مغز) wo guda jo reedh (ریڑھ) ki haddi (ہڈی) wa pusht ke mohre me hota hai
  11. be'naabar aehteyaat-e-waajib rag wa rassi ki tarah lambi, khinchi (کھینچی) huei zard rang wa sakht chiz jo reedh (ریڑھ) ki haddi ke dono taraf hoti hai ye chabaane ke qaabil nahi hai is ka kaam haddiyon (ہڈیوں) ko aek dusre se mut'tasil karna hai

  12. English me is ko shaayad "tendon transplantation" (کنڈرا ٹرانسپلانٹیشن) kahte hain


  13. peetta (پِتَّا = safra)

  14. jigar ke niche aek chhoti thayli (تھیلی) jis me talkh paani yaani pit (پِت) jama rahti hai


  15. tilli (تِلِّی)

  16. English me is ko "spleen" kahte hain


  17. masaana (peshaab ki thayli = پیشاب کی تھیلی)
  18. aankh ka dhela ( آنکھ کا ڈھیلا )

  19. is ke aelaawah jetne bhi aaza wa ajza hain wo sab halaal hain


gurde khaana makruh hai jigar (کلیجہ) aur dil khaane ki karaahat saabit nahi hai


albatta har wo chiz jo masaana (peshaab ki thayli = پیشاب کی تھیلی) se nazdik wa qarib hai behtar hai ous ko na khaa'aen


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-daarul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


9 / ذى الحجه / 1440ھ.ق

روز شہادت جناب مسلم بن عقیل و ہانی (سلام الله عليهم)


وبحکم خدا سارے اصحاب کے در، مسجد نبی کی جانب بند کردیئے گئےسوائے حضرت علی ( صلوات الله عليھم ) کے و روز عرفہ


مومنین گرامی سے خصوصی دعا کی گزارش ہے

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.