qurbaani me ketne log sharik ho sakte hain ? | ous ke ketne hisse rakhna chaahiae ? | jaanwar keyon mota ho ? | ghair muslim ko de sakte hain ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, August 10, 2019

qurbaani me ketne log sharik ho sakte hain ? | ous ke ketne hisse rakhna chaahiae ? | jaanwar keyon mota ho ? | ghair muslim ko de sakte hain ?

Sawaal az : +91 989.......


Salamunalaikum Maulana


Mera Sawaal hai ke agar Qurbaani karna hai aur farz karo ke hamaare paas rakam nahi hai. kya ham thoda sa rakam de ke qurbaani mein shaamil ho sakte hai ?


aur bade jaanwar ke qurbaani ke kitne hisse hote hai
maslan maine agar kisi imam bargah mein 1500 de diye toh mujhe kitna hissa milna chahiye zara jawaab denge muntazir hoon


kya mein qurbaani mein shaamil hoon


Jawaab :


باسمہ تعالی
علیکم السلام و رحمة الله و برکاتہ


eide qurbaan me qurbaani karna mustahab hai, lehaaza is mustahab qurbaani me chand log sharik ho sakte hain, jaa'aez hai


Imaame Saadiq (علیہ السلام) se puchha gaya ke agar 7 log (aek hi jaanwar me) sharik hon aur qurbaani karen to keya ye kaafi hai ?


Imaame Saadiq (علیہ السلام) ne farmaaya : agar 70 log bhi sharik hon aur qurbaani karen to kaafi hai, lehaaza aek hi qurbaani ke jaanwar me kaei shoraka ho sakte hain


qurbaani ka jaanwar bada ho ya chhota, Maasumin (علیهم السلام) se marwi rewaayat ke motaabiq mustahab hai ous ke gosht ko 3 hisson me taqsim karen :


  1. aek hissa zarurat mand wa foqara ko den

  2. dusra padosi / پڑوسی (ya rishte'daaron wa doston) ko den

  3. aur tisra hissa apne liae rakhen

rewaayaat ke motaabiq qurbaani ka jaanwar bahot dubla wa budha na ho balke mota taaza hona chaahiae, is ki aek mohim wajah ye hai ke gosht sab ko mil jaa'ae, zaahir hai agar jaanwar dubla hoga to gosht bhi kam hoga, jab gosht kam hoga to 3 hisson me taqsim karna mushkil hoga


agar ka'ei shoraka hain to gosht wazn kar ke taqsim karen, aap ka hissa shoraka ki raqam aur wazn ke peshe nazar hoga


Note :


agar hindu, musalmaan wa islaam ki taraf raaghib hon to oun ko eide qurbaan ki qurbaani ka gosht de sakte hain, albatta behtar hai momenin ko den


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


4 / ذی الحجہ / 1440 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.