Sallam ..shaadi aur rishta hone se pahle larki ke maa baap ne istekhaara
dikhaya tha jo ke bahot Achha aayaa tha .....kuch halat kharab hone par larkay
ne dusri baar shaadi ko lekar wahi istekhaara dikhaya to bahot kharaab
ayaa...mera sawaal yeh hai ...kya dusra istekhaara maana jaega agar hua hai
kisi bhi wajah se ya nahi .....?
please jawaab jaldi chahiye........
Regards,
Fatima| aminafat.......@gmail.com
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
istekhaara dekhaane ke baad agar kuch muddat guzar gaei hai ya sharaa'aet wa haalaat-e-zindagi me koei qaabil-e-tawajjoh ( ghair maamuli ) tabdili aaei hai to 2 kaam me se koei aek kaam karen
agar rishta monaasib hai to sadqa de kar shaadi kar li jaae ya sadqa dekar dobaara istekhaara dekhaaen jo aaya ous ke motaabiq amal karen
( shar'ei aetebaar se istekhaara par amal karna waajib nahi hai lekin hattal imkaan koshish karen ke istekhaara ke bar khelaaf na karen )
Note :
mazid maalumaat wa tafsilaat ke liae niche kuchh sawaal jawaab diye gaye hain "CLICK HERE" pe click Kar ke padh len
1.
Headline👇
Agar koi rishta (shaadi) ke liye isteqara dekhne pe mana aa jaaye phir baad me wanhi rishta karne ka dil kare tw kya rishta kar sakte hain?
2.
Headline👇
Kya shaadi ke liye masomeen me se kisi ne istekhaara dekha tha? ya kisi sahabi ko...?
______PDF BOOK____
ISTEKHARA
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
15 / ربيع الثانى / 1441ھ.ق