jab Imaam (atfs) zahur karen ge to sab se pehle unki bai'at (بیعت) kon kare ga ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Friday, January 17, 2020

jab Imaam (atfs) zahur karen ge to sab se pehle unki bai'at (بیعت) kon kare ga ?

sawaal az : +91981833****

Salamun alekum huzur kheryat se hain khuda apko apne hifzo aman me rakhe.

Mera sawaal hai jab Imam a.s zahoor karenge to sab se pehle unki Bai'at (بیعت) kon karega.
Shukriya


jawaab :

                           باسمه تعالى
         عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
                                   شکریہ


maasumin ( صلوات الله عليهم ) se manqul mokhtalif taabir wa alfaaz ke saath rewaayaton me hai ke sab se pahle janaab-e-jibraeil bai'at karen ge

is ke mota'alliq rewaayaten tafsili our mokhtasar donon naql huei hain misaal ke taur par sirf aek rewaayat par iktefa kiya jaa raha hai molaaheza farmaaen :

《 khoda ke izn se jab imaam-e-zamaana ( عجل الله فرجه الشريف ) ka zohur hoga to aap khaana-e-kaaba ki diwaar se tek laga kar khade hon ge our apne haath ko aage badhaaen ( بڑھائیں ) ge misl-e-janaab-e-musa ... ous waqt farmaaen ge :

ye khoda ka haath hai our khoda ki jaanib se hai our khoda ke hukm se aage badhaaya gaya our surah fath aayat 10 ki telaawat farmaaen ge :

" ba'tahqiq jo log aap ki bai'at kar rahe hain wo yaqinan allaah ki bai'at kar rahe hain allaah ka haath oun ke haath ke oupar hai pas jo ahd shekani kare wo apne saath ahd shekani karta hai our jo ous ahd ko pura kare jo ous ne allaah ke saath kar rakha hai to allaah anqarib ouse ajr-e-azim dega "

pas sap se pahle jo aap ke haath ka taaziman bosa lega our aap ke haath par bai'at kare ga wo farishta-e-moqarrab , amin-e-aelaahi janaab jibraeil hon ge aap ke baad dusre farishte our nojabaae jin ( نجبائے جن = jinon ke shorafa ) our aap ke sar'karda wa afsar bai'at karen ge 》


ahl-e-eilm o tahqiq ke liae sirf 5 ketaabon ke hawaalaajaat wa naam zail ( ذیل ) me pesh kiae jaa rahe hain :

1. ghai'bat p 274 shaikh tusi

2. irshaad p 364 shaikh mofid

3. kamaalud deen wa tamaamun'nemah jild 2

4. ghai'bat-e-nomaani

5. bahaarul anwaar jild 52 p 285




والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

21 / جمادى الاولى / 1441ھ.ق
Subscribe my channel
.