sohaag raat ki ahamiyat | aadaab | namaaz | doa - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Thursday, February 13, 2020

sohaag raat ki ahamiyat | aadaab | namaaz | doa

Sawaal az : khaahar-e-geraami


Salam


Thode hi deeno me mera nikah hai aur mujhe nikah ke baad ki namaaz dua amal waghairah ki sahi se malumaat nahi hai isliye kya aap mujhe uski jankari de sakte hain aur isse related jo bhi malumaat ho wo bhi bataeyega jisse nikah ke bad acche se life spend kar sake


Regards,

Saiyed.......| Sa******10@gmail.com


jawaab :


باسمه تعالی

علیكم السلام و رحمةالله و بركاته

مبارک ہو


shab-e-zefaaf ( dulha dulhan ki pahli raat / sohaag raat ) bahot mohim aur mobaarak hai is liae ke rewaayat me hai :


"jis shakhs ne shaadi kar li ous ne aadha deen mahfuz kar liya pas ouse chaahiae ke baaqi aadhe me allaah ka taqwa aekhteyaar kare"

"shaadi shuda ki 2 rak'at namaaz ghair shaadi shuda ki 70 rak'at namaaz se afzal hai"


is shab me doa qabul hoti hai, farishte dulha wa dulhan par rahmat-e-khoda naazil karte hain ...

lehaaza dulha wa dulhan ke liae sohaag raat se behtar koei aur raat nahi


is raat aur dulha dulhan ... ke mota'alliq kuchh aadaab, namaaz aur doa ka zikr hai


oun aadaab wa aamaal ... ki 2 qismen hain :


  1. dulha wa dulhan wa shab-e-zefaaf ke aadaab wa aamaal

  2. dulha dulhan ya miyaan biwi ke darmeyaan jismaani ta'alluqaat ke waqt omumi wa kulli aadaab jaiyse mustahabbaat wa makruhaat

dulha dulhan aur shab-e-zefaaf ke mota'alliq aadaab wa aamaal :


  1. jab dulhan ko dulha ke paas laa'aen to dulha wozu kare aur apni naei naweli dulhan se bhi wozu karne ke liae kahe

  2. jab dulhan ghar me daakhil ho jaa'ae to dulha, dulhan ki juti outaare taake baith jaa'ae jab baith jaa'ae to paani se ous ke pair dhoae aur ous paani ko ghar ke darwaaze se lekar ghar ke tamaam hisson par chhidke ( daale ) agar aiysa kare ga to khoda 70 hazaar tang dasti ki qismon ko is ghar se dur kare ga aur 70 hazaar barkaton ki qismen ghar me daakhil hon gi aur 70 rahmaten naazil karega, ye rahmaten dulhan ko gher len gi yahaan tak ke is ki barkaten pure ghar me pahunch jaa'aen gi aur jab tak ye barkaten wa rahmaten ghar me rahen gi dulhan jonun aur jozaam wa bars jaiysi bimaari se mahfuz rahe gi ...

  3. mazkura baala sefaareshaat par amal karne ke liae Rasul-e-khoda ne amirul momenin Ali ( صلوات الله عليهم ) se kaha hai


    ( man laa yahzarohul faqih jild 3 p 358 baabun nawaadir 178 )


    is rewaayat me mokhaatab amirul momenin Ali ( عليه السلام ) hain lekin ye sefaareshaat sab ke liae hain


  4. shab-e-zefaaf takbir kahe

  5. dulhan ke kamre me hi dulha namaaz-e-subh ki tarah 2 rak'at namaaz padhe aur dulhan se bhi padhne ke liae kahe

  6. ( niyat : 2 rak'at namaaz-e-shabe zefaaf padhta / padhti hun qurbatan aelallaah )


    phir khoda ki hamd-o-sana karen aur mohammad wa aale mohammad par salawaat bhejen


    is ke baad nehaayat taasir guzaar ye doa dulha padhe :


    اَللَّهُمَّ ارزُقنِى اَلفَهَا وَ وُدَّهَا وَ رِضَاهَا ، وَارضِنِى بِهَا ، وَاجمَع بَينَنَا بِاَحسَنِ اِجتِمَاعٍ وَ آنَسَ اِئتِلَافٍ فَاِنَّكَ تُحِبُّ الحَلَالَ وَ تَكرَهُ الحَرَامَ


    "allaahummar zuqni alfaha wa wud'daha wa rezaahaa, war zeni beha, wajma baiy'na'na be ahsane ijtemaaein wa aanasa aetelaafin fa innaka tohibbul halaal wa takrahul haraam"


    Mafhum :


    "khodaa'ya mujh ko biwi ki oulfat wa mawaddat aur mujh se ous ki rezaayat ata farma aur mujhe bhi is se raazi rakh aur ham ko aekat'tha ( اکٹھا = jama ) kar behtarin ijtema ke saath, aur behtarin ouns ham ko ata kar ba tahqiq tu halaal ko chaahta hai aur haraam ko naa-pasand karta hai"


  7. Imaam Saadiq ( عليه السلام ) ne apne baaz as'haab se farmaaya :

  8. shab-e-zefaaf dulha apne haath ko dulhan ki peshaani par rakh kar aur baaz rewaayat ke motaabiq peshaani ke qarib baal pakad kar qibla ru kar ke ye doa padhe :


    اَللَّهُمَّ بِاَمَانَتِكَ اَخَذتُهَا وَ بِكَلِمَاتِكَ اِستَحلَلتُ فَرجَهَا فَاِن قَضَيتَ لِى مِنهَا وَلَداً فَاجعَلهُ مُبَارَكاً سَوِيّاً وَلَا تَجعَل لِلشَّيطَانِ فِيهِ شِركَاً وَلَا نَصِيباً


    "allaahumma be amaanatik akhaztoha wa be kalemaatik istahlalto farjaha fa in qazaita li minha waladan faj alho mobaarakan sawiyaa wala taj'al lish'shaitaan-e-fihe shirkan wa laa nasiba"


    "khoda is dulhan ko ba taur-e-amaanat tujh se liya aur tere kalemaat ( segha-e-nikaah ) ke zariae is ko halaal kiya agar is dulhan se mere liae farzand moqaddar farmaaya to ous ko mobaarak ( baa barkat ) aur kaamil qaraar de aur ous me shaitaan ko sharik qaraar na de aur na ous me shitaan ka hissah qaraar de


    ( man laa yahzarohul faqih jild 3 p 254 baab 120 )

ham bistar hone ka aeraada ho to ous ke liae kuchh aadaab wa mustahabbaat hain jaiyse wozu karna, bismillaah kahna, jaldi na karna ...

Aur kuchh makruhaat bhi hain


tafsil ke liae "hilyatul muttaqin" taalif aalim-e-rabbaani allaama Mohamnad Baaqir Majlesi ( قدس الله سره ) baab 4 fasl 4 wa 5 padh len


Note :


  1. Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله

  2. shaadi ke baad naei dulhan aek hafte tak keya chiz na khaae ?


  3. behtar hai "Edaara-e-darul itrat" ke youtube channel pe "asr-e-haazir wa family masaa'ael" ka pura episode dekh len

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


19 / جمادى الثانى / 1441 ھ.ق


Subscribe us on youtube



Recommendation


  • Farzand hone ke liae doa
  • .