shaadi ke baad naei dulhan aek hafte tak keya chiz na khaae ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, November 30, 2019

shaadi ke baad naei dulhan aek hafte tak keya chiz na khaae ?

sawaal az : +91 70458....


Assalaam Alaikum

Ya ALI a.s madad

Ek swaal Bhai


New Dulhan ko nikaah ke baad se kin kin cheezon se aur kitne din tak khaane se parhez karna hai jisse koi problem na ho usko


Khaane matlab Yeh bola jata hai ke Shaadi ke baad ladki ko kuch dino tak kuch cheezein nahi khaana chahiye Jisse uske Kook thandi ho jaati hai


Jawaab :


باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


aek tawil rewaayat ka wo hissa peshe khidmat hai jis me aap ke sawaal ka jawaab hai :


...وَامنَعِ العَرُوسَ فِی اُسبُوعِهَا مِنَ الاَلبَانِ وَالخَلِّ وَ الکَزبُرَةِ وَ التُّفَّاحَةِ الحَامِضَةِ مِن هَذِهِ الاَربَعَةِالاَشیَاءِ فَقَالَ علی ( عليه السلام ) یَارَسُولَ الله ( صلى الله عليه و آله ) وَ لِاَیِّ شَیءٍ اَمنَعُهَا هَذِهِ الاَشیَاءَ الاَربَعَةَ قَالَ لِاَنَّ الرَّحِمَ تَعقَمُ وَ تَبرَدُ مِن هَذِهِ الاَربَعَةِ الاَشیَاءِ مِنَ الوَلَد...


Hadis ka mafhum :


Rasul-e-khoda ne hazrat Ali ( صلوات الله عليهم ) se farmaaya :


" ... dulhan ko mana kijiae ke ham bistari ke baad pahle hafte me yaani 7 dinon tak in 4 chizon : har qism ka dudh, sirka, hara dhanya aur khatte seb me se koei aek chiz bhi istemaal na kare :


hazrat Ali ( عليه السلام ) ne farmaya ay Rasul-e-khoda ( صلى الله عليه وآله ) keyon in 4 chizon se mana karun ?


aap ne farmaaya :


is liae ke in 4 chizon me se koei aek chiz ke pine ya khaane se rahim ( bach'cha daan ) aqim wa thanda ( sard ) ho jaata hai, natije ke taur par aurat be aulaad wa baanjh ( بانجھ ) ho jaati hai


( mustad'rakul wasaael jild 14 p 298 baab istehbaabo man'eil arus fi ousbu ... / aelalush'sharaae baab 289 " aelal nawaaderun'nekaah " )


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

Khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran


3 / ربيع الثانى / 1441ھ.ق

Subscribe us on youtube



.