Kaise pata karen ki hamaari taubaa qabul hui ya nahi? Kaise pata karen ki khoda raazi hai ya nahi? Kaise maalum karen ki hamaare amaal qabul ho rahe ya nahi? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, March 28, 2020

Kaise pata karen ki hamaari taubaa qabul hui ya nahi? Kaise pata karen ki khoda raazi hai ya nahi? Kaise maalum karen ki hamaare amaal qabul ho rahe ya nahi?

sawaal az : mohtaram Janaab sahil Zaidi sb



Salamun alaikum bhai

Humare kuch sawal hain
Pls jawab ki guzarish

question no -1
hamey ye kaise pata lag sakta hai ki hamaari taubaa qabul hui ya nahi ?
question no - 2
 hamey ye kaise pata lag sakta hai ki khuda hamse raazi hai ya nahi ??
question no - 3
hamey ye kaise maaloom ho ki hamaare amaal qabul ho rahe hain ya nahi aur nahi ho rahen to kis wajah se ?
jazakallah khair .. waiting for reply


Jawaab :

باسمه تعالى

يا صاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


(1) hamen kaiyse maalum hoga ke khoda ne meri tauba qabul kar li hai ?

niche di gaei "headline"... me tauba ke mota'alliq jo likha hai agar ous ke motaabiq tauba ki hai to khoda ne qabul kar li hai , wahi tauba ki qabuliyat ki alaamat hai


qur'aan hakim me kaei maqaamaat par hai ke khoda tauba qabul farmaata hai

surah baqarah 53 me hai :

" aap logon se kah dijiae : ay mere bando jinhon ne apni jaanon par zeyaadti ki hai khoda ki rahmat se maayus na hona allaah yaqinan saare hi gunaah moaaf kar deta hai yaqinan wo ghafur wa rahim hai "

ye aayat bahot wasi hai sab bandon our sab gunaahon ko shaamil karti hai

tauba qabul karna waada-e-aelaahi hai lehaaza tauba ke baad tamaam gunaahon ko bakhsh deta hai our tauba qabul farma leta hai

ab aiyse waswason me oulajhne ki zarurat nahi hai ke jo tauba ki qabuliyat ke mota'alliq shokuk me daalen , keyaun ke aiyse waswase shaitaan ki jaanib se hote hain

(2) hamen kaiyse maalum ho ke khoda ham se raazi hai ?

har momin ki ye tamanna rahti hai ke khoda ham se raazi rahe

khoda ke raazi hone ki mokhtalif alaamaten wa neshaaniyaan hain oun me se baaz ki taraf aeshaara kiya jaa raha hai

(1) Aetaa'at :

agar banda , khoda wa rasul our aap ke barhaq jaanashin ki aetaa'at kar raha hai to ye khoda ke raazi hone ki alaamat hai

imaam saadiq ( عليه السلام ) ne kaei resaale likhe hain oun me se aek apne as'haab our shion ke liae raqam kiya hai is ko padhne our apni zindagiyon me naafiz karne ka hukm diya hai

as'haab wa shia eise apni jaae namaaz me rakhte the , namaaz ke baad ous ko padhte the our ous par amal bhi karte the , isi resaale me hai :


وَعلَمُوا اَنَّ اَحَداََ مِن خَلقِ الله لَم يُصِب رِضَا الله اِلَّا بِطَاعَتِهِ وَ طَاعَةِ رَسُولِهِ وَ طَاعَةِ وُلَاةِ اَمرِهِ مِن آلِ محمد صلوات الله عليهم

" jaan lo ke beshak kisi bhi khalq-e-khoda ko allaah ki reza haasil nahi hogi magar ous ki aetaa'at our ous ke rasul ki aetaa'at our aale mohammad  se imaamon ( صلوات الله عليهم ) ki aetaa'at ke saath "

( foru-e-kaafi = " rauzatul kaafi " jild 8 p 10 resaalato abi abdillaah ( عليه السلام ) aela jamaa'atish shia )

(2) Tawalla wa tabarra :

rasul-e-khoda our aap ki aal ( صلوات الله عليهم ) se mohabbat our aap ke dushmanon ( لعنةالله عليهم ) se nafrat wa bezaari

ye qur'aan hakim ki aayaat se saabit hai
our is ke mota'alliq shia wa sunni ketaabon me bhi be shumaar rewaayaten hain , aekhtesaar ke peshe nazar oun ko nazar andaaz karta hun

(3) Taqdir wa qazaa-e-aelaahi par raazi rahna :

amirul momenin ali ( عليه السلام ) se marwi hai :


عَلَامَةُ رِضَا اللهِ سُبحَانَهُ عَنِ العَبدِ رِضَاهُ بِمَا قَضَى بِهِ سُبحَانَهُ لَهُ وَ عَلَيهِ

" bande se rezaayat-e-khoda ki alaamat ye hai ke banda ous chiz se raazi rahe jo khoda ne ous ke moqaddar me likha hai , chaahe wo ous ke liae faaeda mand ho ya noqsaan deh
( yaani taqdir-e-aelaahi par raazi wa taslim rahe koei shikwa wa shekaayat na ho )


( ghorarul hekam p 104 )


(4) Masaakin se mohabbat our zaalemin se dushmani :

janaab-e-musa ne khoda se farmaaya : ay allaah mujhe ye bata ke bandon se teri khushnudi ki keya alaamat hai ?

to khoda ne wahi farmaaei :


اِذَا رَاَيتَ نَفسَكَ تُحِبُّ المَسَاكِينَ وَ تُبغِضُ الجَبَّارِينَ فَذَالِكَ آيَةُ رِضَاىَ


" jab tum apne nafs wa dil ko dekho ke masaakin se mohabbat karta hai our zaalimon se dushmani , to ye meri reza ki alaamat hai "

( mustad rakul wasaa'ael jild 12 p 234 )

(5) kasrat-e-istighfaar , tawaazo our sadqah :

imaam ali our aap ke farzand imaam jawaad ( عليهما السلام ) se manqul hai :


ثَلَاث يُبَلِّغنَ بِالعَبدِ رِضوَانَ اللهِ كَثرَةُ الاِستِغفَارِ وَ خَفضِ الجَانِبِ وَ كَثرَةُ الصَّدَقَةِ


3 chizen bande ko khushnudi wa rizwaan-e-khoda tak pahunchaati hain :

(1) istighfaar ki kasrat

(2) logon ke saamne tawaazo wa khaaksaari

(3) zeyaadah sadqa dena

( bahaarul anwaar jild 78 p 81 / musnadul imamil jawaad عليهما السلام p 247 )

(3) Hamen kaiyse maalum ho ke hamaare aamaal qabul huae ya nahi ?

hamaare aamaal shar'ei sharaa'aet ke motaabiq hon , aamaal gunaahon se roken , our aekhlaas wa taqwaa-e-aelaahi ke saath hon

surah maaedaah 27 me hai :

" allaah to sirf taqwa rakhne waalon se qabul karta hai "

our sab me mohim rasul-e-khoda our aap ke ahle bait ( سلام الله عليهم ) se mohabbat ho

to ye qabul hone ki alaamat wa neshaani hai


ahle bait-e-rasul ( صلوات الله عليهم ) ki mohabbat bahot mohim hai is ke beghair koei amal maqbul nahi hai , ye amal ke qabul hone ki shart hai

wo aamaal qabul nahi honge jo mazkurah baala bayaan ke motaabiq anjaam na diae jaaen

our hasad , ghorur , dusron ko aziyat dena , dusron par mehrabaani na karna , momin ki ghibat wa tahqir karna our reyaa kaari wa dekhaawa ...
aiyse asbaab hain jin ki wajah se aamaal qabul nahi hote hain



HEADLINE

Gunaaho ka kaffara dene ke liye jo roza rakha jaata hai uski niyat kya hogi ? Agar ham jaan bujh ke gunaah kar de to uska...Click here

( "click here" pe click Kar ke padh len )


والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

3 / شعبان / 1441ھ.ق

🌹 ( روز ولادت با سعادت امام حسين ( عليه السلام 🌹

Subscribe my channel

No comments:

Comment

.