Keya ek muslim ladki Ghair muslim ladke se shaadi kar sakti hai? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Monday, March 30, 2020

Keya ek muslim ladki Ghair muslim ladke se shaadi kar sakti hai?

sawaal az : ............

Mera naam sameem hai aur mera sawal yeh hai ki
Kya ek muslim ladki Ghair muslim ladke se shaadi kar sakti hai kya ? Woh ladka imaan Qabool nahi kar raha aur ladki usse shaadi karli to kya woh shaadi halaal hai ?
Mujhe jahaa tak pata hai shaadi ke liye dono ka muslim hona zaroori hai agar aisa nahi hua to wo shaadi nahi zina kehte hai ?


Jawaab :

باسمه تعالى

يا صاحب الزمان ادركنا

سلام علیکم


nahi kar sakti hai

khaah ghair muslim ladka ketaabi yaani eisaaei wa yahudi ho ya ghair ketaabi , masalan but parast , mushrik , sikh our budh mat waghairah
our chaahe shaadi daa'aemi ho ya waqti = aqd-e-mut'aah ( nahi kar sakti hai jaa'aez nahi hai )

agar shaadi kar li hai to ye shaadi baatil hai donon shar'ei aetebaar se bivi wa shauhar nahi hain aek dusre ke liae halaal nahi hain

durandeshi , aaqebat bini , sa'aadat our khoda tarsi ... ka taqaaza yahi hai ke fauran juda ho jaae



والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-daarul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

5 / شعبان / 1441 ھ.ق

(روز ولادت با سعادت امام زین العابدین ( عليه السلام

Subscribe my channel

No comments:

Comment

.