Keya talaaq shudaah aurat saabeqaa shauhar ke ghar me rah sakti hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Monday, March 30, 2020

Keya talaaq shudaah aurat saabeqaa shauhar ke ghar me rah sakti hai ?

sawaal az : mohtarama Janaab Nigar fatima sb ( up / meerut )

Sawaal

Agar kisi zoja-o-shohar me talaaq ho jae  aur dono êk dusre se alag rahte hon yahaan tak ke unke bach'che jawaan ho jaen aur jawaan hone ke baad wo bach'che apni waalda ko apne ghar le aaen jo ghar shohar ki malkiyat ho aur dono zoja-o-shohar me koi bol chaal ya mel jol na ho  to keya wo zoja apne bach'chon ke saath  us ghar me rah sakti hai jab ke shohar bhi us hi makan ke doosre hisse me rah raha ho. Yaani  zoja upar ki manzil par apne beton ke sath rah rahi  ho aur shohar apni dusri zoja ke sath niche ki manzil me rahte hon  mujhe is sawaal ka jawaab tafseel me chahiye agha seestani sahab ke fatwe ke motaabiq


jawaab :

باسمه تعالى

يا صاحب الزمان ادركنا

سلام عليكم


shauhar par biwi ka naan-o-nafqah waajib hai ba'sharte ke biwi apne shauhar ki jaa'aez jinsi khaahish wa raghbat puri kare
naan-o-nafqah ke masaadiq me se aek rehaaeish hai

lekin talaaq wa judaaei ke baad aek dusre ke liae  khaawand wa biwi nahi rahe , donon aek dusre ke liae naa mahram wa haraam ho ga'ae

lehaaza talaaq yaaftah ourat naan o nafqah wa rehaaeish ki haq'daar nahi hai , naan o nafqah talaaq ke baad khatm ho jaata hai

agar mard ( saabeqah shauhar ) apne makaan me rahne ki aejaazat de ya raazi hai to rah sakti hain



والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

4 / شعبان / 1441ھ.ق

(شب ولادت با سعادت امام سجاد ( عليه السلام

Subscribe my channel

No comments:

Comment

.