bataa'ae beghair sadqe ke paiyse kisi ko dena | sadqah ke aadaab - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Tuesday, March 10, 2020

bataa'ae beghair sadqe ke paiyse kisi ko dena | sadqah ke aadaab

sawaal az : +917783....


Salamun alaykum


Moulana sahab, hamara ek sawaal hai.. Ke agar koi hamaare paas maali madad ke liye aaye to kya hum unhe sadqe ke paison se unki madad unhe bina jankari diye (ke sadqe ki raqam hai...) Kar sakte hain.... Ya unhe bata kar dena zaruri hai... Ke ye raqam sadqe ki hai..?


Shukriya

Wassalam


jawaab :


باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

sadqah waajib ho ya mustahab bataana zaruri nahi hai


Note :


(1) sadqe ke aadaab me se ye hai ke sadqah dene ke baad aehsaan na jataaen , aehsaan jataana yaqinan aek buri wa past khaslat hai


qur'aan me hai :


" apne sadqe ko baatil na karo aehsaan rakh kar our eiza dekar ... "


( baqarah 264 / foruae kaafi jild 4 p 22 ketaabuz zakaat )


" neki kar darya me daal " ke maqule par amal paira hona chaahiae


our sadqah dene waala apne chehre ko dhak kar de taake saa'ael ko zillat o khaari our sharmindagi ka aehsaas na ho


maasumin ( صلوات الله عليهم ) ki yahi sirat rahi hai


( foruae kaafi jild 4 p 24 ketaabuz zakaat )


(2) mazid tafsil ke liae niche diae gae jawaab padh len




والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔15 رجب / 1441ھ.ق


روز شهادت ام المصائب جناب زینب سلام الله عليها

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.