haamela aurat ko talaaq dena | talaaq qaabile nafrat amal - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Sunday, April 12, 2020

haamela aurat ko talaaq dena | talaaq qaabile nafrat amal

Sawaal az : mohtaram Janaab Ali Mohammad sb / group name : "salam ya imam husain as (Facebook)


(forwarded by Saiyed Md Tabish)


Assalam Alekum
Mujhey Aik sawaal ka jawaab chahiye


Koi Khatoon 2 mahine ke Hamal Se ho to keya uska Shauhar use Talaaq de sakta hai.....?
Talaaq dene ke liae Keya zaruri hai ke Hamal zaaya karaaya Jaae.....?
Daurane hamal Talaaq hoti hai ya Nahi.....fatwa jaante ho to zaroor bataein.....


Jawaab :


باسمه تعالى
سلام عليكم و رحمةالله


haamela aurat ko talaaq dena sahi hai


isqaat (haml giraana) haraam wa gunaahe kabira hai


Talaaq me chand chizen zaruri hain oun me se baaz ye hain :


  1. mard apne aekhteyaar se talaaq de, lehaaza koei talaaq dene par majbur kare to talaaq baatil hai

  2. qasdo aeraada se talaaq de , lehaaza ghus'se, masti aur mazaaq me talaaq ka segha jaari kare to baatil hai

  3. talaaq ke waqt khune haiz wa nefaas se paak ho

  4. (yahaan kuchh tafsil hai, tauzihul masaa'ael me dekh len)


  5. sahi arabi me talaaq ka segha jaari kiya jaa'ae

  6. do aadil mard talaaq ke seghon ko sunen

Rasule maqbul (صلى الله عليه وآله) ne farmaaya :


"... مَا مِنْ شَيْءٍ أَحَبَّ إِلَى اَللَّهِ عَزَّ وَ جَلَّ مِنْ بَيْتٍ يُعْمَرُ بِالنِّكَاحِ وَ مَا مِنْ شَيْءٍ أَبْغَضَ إِلَى اَللَّهِ عَزَّ وَ جَلَّ مِنْ بَيْتٍ يُخْرَبُ فِي اَلْإِسْلاَمِ بِالْفُرْقَةِ يَعْنِي اَلطَّلاَقَ ..."


Mafhum :


" ... khoda ke nazdik koei bhi chiz aiyse ghar se, zeyaadah mah'bub nahi hai jo shaadi ke zariae aabaad huaa ho
aur khoda ke nazdik koei bhi chiz aiyse ghar se, bohot zeyaada qaabile nafrat nahi hai jo judaaei (talaaq) ke zariae kharaab wa wiraan ho jaata hai ..."


(wasaa'aelush shia jild 16 p 266 - 267)


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


16 / جمادى الاولی / 1440ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.