shaadiyon ke shauqin mard | aurat mahbub-e-khoda nahi - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Sunday, April 12, 2020

shaadiyon ke shauqin mard | aurat mahbub-e-khoda nahi

Sawaal az : mohtarama janaab farha razavi sb / Raebareli


Salamalaikum


Mera sawaal ye hai ke agar Kisi mard ko apni wife ko talaaq deni hai to kaise de ? shadi ko 8 saal ho gaye hain sirf 1 mahine 7 din Saath Raha phir unki wife Apne maike chali gayi uske baad nahi lauti to ab wo mard unko talaaq dena chahte hai to talaaq dene ka keya tariqa hai ... please jawaab dene ki zehmat farmaye


Jawaab jaldi dijiyega


Jawaab :


باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


  1. Mard apne aekhteyaar se talaaq de. agar koei talaaq dene par majbur kare to ye talaaq baatil hai

  2. Qasd-o-aeraade se talaaq de pas agar mazaaq ya haalat-e-masti ya ghos'se me talaaq de to sahi nahi hai

  3. Talaaq ke waqt biwi khun-e-haiyz ( حيض ) wa nefaas se paak ho

  4. Talaaq ka segha sahih arabi me padha jaa'ae

  5. 2 aadil mard talaaq ke seghe ko ba'ounwaan-e-gawaah sunen

Note :


Rasul-e-khoda ( صلى الله عليه و أله ) se manqul hai :


لَا تُطَلِّقُوا النِّسَاءَ اِلَّا مِن رِيبَةٍ فَاِنَّ اللهَ لَا يُحِبُّ الذَّوَّاقِينَ وَلَا الذَّوَّاقَاتِ


auraton ko talaaq na do magar gunaah wa haraam me padne ka khauf ho / shadid jinsi khaahish ka dabaao ( دباؤ ) pade ( maaqul dalil ho, hawas ki benaa par na ho ) is liae ke khoda zaw'waaq mard ( ذَوَّاق مرد ) aur zaw'waaqa ( ذَوَّاقَه ) aurat ko dost nahi rakhta hai ( yaani is tarah ke mard wa aurat khoda ke nazdik manfur wa qaabil-e-nafrat hain )


( Tafsir-e-majmaoul bayaan jild 10 p 386 tafsir-e-surah talaaq )



Zaw'waaq mard :


Wo hai jo mokhtalif biwiyon ka maza le, is ka zauq-o-shauq ( ذوق و شوق ) rakhta hai yaani jis ka maqsad wa kaam kisi maaqul dalil ke be'ghaiyr talaaq dena aur dusri shaadiyaan karna hai


Zaw'waaqa aurat :


wo hai jo mokhtalif shauharon ka maza le aur is tarah ka zauq wa shauq rakhti hai yaani jis ka maqsad wa kaam kisi maaqul dalil ke be'ghaiyr shauhar se talaaq lena, juda hona aur dusri shaadiyaan karna hai



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔8 / رجب / 1440ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.