Agar koei shakhs maahe ramazaan me 10 roz ke qasd se kahin ruka hai aur har roz wahaan se 10 km jaa'ae wa waapas aa jaa'ae to keya ous ka roza sahih hai aur namaaz puri ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Friday, May 15, 2020

Agar koei shakhs maahe ramazaan me 10 roz ke qasd se kahin ruka hai aur har roz wahaan se 10 km jaa'ae wa waapas aa jaa'ae to keya ous ka roza sahih hai aur namaaz puri ?

Sawaal az : mohtaram Janaab Syed Ammar Haidar Sb / katokhar


Sallam alikum


Mera ek sawaal hai roze ke silsile se. Main apne watan se 30 km door apne relative ke ghar 10 dino ke zyadh niyat se hun. is hisaab se meri namaaz aur rozey dono wajib ho gaye.


Ab mera sawaal:


Main ab relative ke ghar se 10 km door hospital main hun. Allah ke fazlo karam se mere yahan beti paida hui hai. to iss wajah se mujhe hospital me rahna padta hai aur relative ke ghar bhi jaana padta hai. is doraan mere roze aur namaaz ke liae shar'ei hukm kya hai. main aaqa Sistani sb ka muqaleed hun. bara'ae karam mere sawaal ka jawaab dene ki takleef karen.


Faqat wasallam


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


jis jagah hospital hai wahaan agar har roz 3 ghante ruken (yaani 3 ghante qeyaam karen) to 10 roz ke qasdo aeraade par asar nahi pade ga, yaani 10 roz ka aeraada darham barham nahi hoga
lehaaza aap ki namaaz puri hai aur roza sahih hai


خدا قرآن اور امیر المومنین علی (عليه السلام) کے زیر سایہ بچی کو اپنے حفظ و امان میں رکھے

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


21 / رمضان المبارک / 1441 ھ.ق

روز شہادت امیر المومنین علی عليه السلام

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.