Beghair eilm ke fatwa dena | bela tahqiq wa eilm, kisi chiz ki nisbat deen ki taraf dene ki mazammat - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Thursday, May 28, 2020

Beghair eilm ke fatwa dena | bela tahqiq wa eilm, kisi chiz ki nisbat deen ki taraf dene ki mazammat

Sawaal az : +91 93046.....


Keya Eide fitr ke din Imaam Ali a.s ka 10wa aur gham manaana chahiye ?
Keya ye sahi hai ?


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم


har saal Eide fitr ke mauqe par is baat ko mauzu'ae bahas banaa kar baaz log momenin me inteshaar phaiylaate (پھیلاتے) hain


millat aur hamaare mo'aashare me aiyse afraad ki kami nahi hai jo eilme deen se be'bahra hone ke baa'wojud mazhabi masaa'ael me apni niji raa'ae zani ko apna haq samajhte hain aur momenin ko ghalat masaa'ael bataate hain


aur baaz naam nehaad allaama aiyse hain jo bela tahqiq aur beghair eilm ke fatwa bhi dete hain, ye mosibat har zamaane me rahi hai, masalan Imaame Saadiq (عليه السلام) ke daur me aap hi ke shaagird Abu Hanifa the. daure haazir me bhi Abu Hanifa ki rawish par amal karne waale maujud hain, haalaanke (حالانکہ) jo bena eilm ke fatwa deta hai ous ka thekaana jahannam hai


Abdur Rahmaan Bin Haj'jaaj se rewaayat hai ke Imaam Saadiq (عليه السلام) ne mujh se farmaaya :


اِيَّاكَ وَ خَصلَتَينِ فَفِيهِمَا هَلَكَ مَن هَلَكَ : اِيَّاكَ اَن تُفتِىَ النَّاسَ بِرَايِكَ اَو تَدِينَ بِمَا لَا تَعلَمُ


"do khaslaton wa kaamo se bacho keyon ke jo shakhs bhi halaak huaa (jahannami huaa) in do khaslaton wa kaamo ke sabab huaa hai :


logon ko apni raa'ae se fatwa dene se ya jis chiz ka tumhen ilm na ho ous par deeni aeteqaad wa aqida ho jaane se bacho (yaani aisy chiz ko ba'ounwaane aqida wa deen aekhteyaar karne se parhez karo jis ke baare me nahi jaante ho)"


(Osule Kaafi jild 1 p 42 - baab an'nah'yo anil qaul beghaire eilm)


bahar kaif aap ke sawaal ka jawaab niche di gaei video aur recommend kiae ga'ae jawaab (surkhi / headline) me hai open (click) kar ke molaaheza farma len wa video dekh len


  1. imaamon ka daswan | roz-e-eide fitr imaam ali (s.a) ka gham manaana jaa'aez hai ?


  2. Eide fitr ke din keya manaa'aen khushi | gham | donon ? | dalil keya hai ?

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


4 / شوال / 1441 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.