fitre ki meqdaar ke baare me zaruri ahkaam - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, May 23, 2020

fitre ki meqdaar ke baare me zaruri ahkaam

Sawaal az : mohtarama Janaab Faatema Sb (Muscat)


Asalaam alaikum


Fitra kitna niklega ?


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركات


har shakhs (aek aadmi) ke liae fitre ki meqdaar taqriban 3 kilo khoraak jaiyse gandum yaa is ka aata, yaa jau yaa is ka aata yaa in ki roti, yaa makaei yaa is ka aata yaa is ki roti, yaa chaawal yaa khurma yaa kishmish yaa is ke maanind chizen hain, yaa is ki meqdaar ke baraabar qimat (raqam) di jaa'ae to kaafi hai


fitrah dene waale ko aekhteyaar hai khoraak yaa qimat me se kisi aek ka intekhaab kare


Misaal :


agar 3 logon ka fitrah dena hai to taqriban 9 kilo khoraak (gheza) mustahaq ko den yaa 9 kilo khoraak ke baraabar qimat (raqam) den


Wazaahat :


Aayatullaah Sistaani ki nazar ke motaabiq aehteyaate waajib ye hai ke aiysi gheza (khoraak) na den jo fitrah dene waale ke shahr (aelaaqe) me aam taur par nahi khaa'ei jaati hai (yaani log jis ko beshtar nahi khaate hain ous ko na den) khaah beshtar na khaa'ei jaane waali gheza gandum yaa jau yaa khurma yaa kishmish hi keyun na ho


baa'alfaaze digar benaabar aehteyaate laazim aiysi gheza (khoraak) den jis ko aelaaqe ke log beshtar khaate hain


Misaal :


kisi shahr wa aelaaqe ke log zeyaadah tar roti khaate hain aur roti ke aelaawah dusri khoraak jaiyse chaawal waghairah bhi khaate hain lekin kam, kabhi kabhi
chunke (چونکہ) log roti beshtar khaate hain lehaaza har fard ki taraf se taqriban 3 kilo roti den yaa is meqdaar ke baraabar qimat


Ghalat fahmi ka aezaala :


"jis gheza ko log beshtar khaate hain" is se moraad logon ki aksariyat hai khud fitrah dene waala nahi
lehaaza agar kisi gheza ko fitrah dene waala kabhi kabhi khaata hai lekin aelaaqe ki aksariyat ous ko zeyaadah tar khaati hai to aksariyat ke peshe nazar fitrah den
isi tarah is ke bar'aks yaani kisi gheza ko fitrah nikaalne waala zeyaadah tar khaata hai lekin aksariyat ous ko zeyaadah tar nahi khaati hai to is surat me bhi meyaar wa kasauti aksariyat hai khud fitra dene waala nahi


Rahbare Inqelaab Aayatullaah Khaamenaei ke fatwe ke motaabiq zaruri nahi hai ke fitrah aiysi gheza (khoraak) den jis ko shahr (aelaaqe) ke log beshtar khaate hain


lehaaza agar gandum yaa jau yaa khurma yaa is ke maanind chizen yaa in me se 3 kilo meqdaar ke baraabar qimat de di jaa'ae to kaafi hai


Note :


mazid maalumaat ke liae site ke "Menu" me "Ahkaam" ke andar Fitrah ka shoba dekh len


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


29 / رمضان المبارک / 1441 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.