Sawaal az : +91 99673...
Salam agha kaise hain aap
Agha ye sawaal hai kya iftar ka sahi waqt keya hai
Maghrib ki azan sunte hi iftar kare ya maghrib ki namaz ke baad iftar kare ya maghrib isha ki namaz ke baad iftar kiya jaae inme se sabse sahi waqt konsa hai
taqlid Ayatulla sistani
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمد لله
suraj ghorub hone ke baad benaa bar aehteyaate waajib aetna sabr karen (intezaar karen) ke mash'riq (پورب) ki surkhi zaa'ael ho jaa'ae, yahi waqte maghrib hai aur iftaar ka sahih waqt
agar azaan is waqt ho rahi hai to iftaar kar sakte hain
albatta mustahab hai (waajib nahi) ke roze daar namaaze maghrib wa aesha ko iftaar karne ke pahle padhe yaani namaaz ko iftaar par moqaddam kare
lekin agar koei intezaar kar raha hai masalan iftaar par koei muntazir hai ya khaane ki shadid khaahish is trah mahsus kare ke hozure qalb ke saath namaaz nahi padh sakta hai to is surat me behtar ye hai ke pahle iftaar kare phir namaaz padhe yaani iftaar ko namaaz par moqaddam kare
lekin jahaan tak momkin hai namaaz ko ous ke waqte fazilat par adaa kare
Note :
ghorub aur maghrib me farq :
ghorub se moraad : suraj dubna hai
aur maghrib se moraad : suraj ghorub hone ke baad mashriq ki samt jo surkhi zaahir hoti hai wo khatm ho jaa'ae
ghorube khurshid ke baad taqriban 15 se 20 minute ke baad waqte maghrib hota hai, yahi waqte iftaar hai
mokhtalif mausam me ye faaselah badalta rahta hai aur is me farq aa jaata hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
5 / رمضان المبارک / 1441 ھ.ق
No comments:
Comment