roze ki haalat me atr lagaane | phul sunghne ka hukm | atr lagaane ki taakid - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Friday, May 1, 2020

roze ki haalat me atr lagaane | phul sunghne ka hukm | atr lagaane ki taakid

sawaal az : mohtarama janaab Samaana Razavi Sb. / Muzaffarpur


Salam alaikum


Mujh se kisi ne phoocha tha
Roze me itar laga sakte hai ki nahi itar lagane se roza batil ho jata hai kiya ye sahi hai


aur roze ki halat me agar shohar apne biwi se piyar kare use kis kare aur usme chipak kar soye to kiya ye sahi hai roze ki halat me


Mujhe kisi ko bhejna hai


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


  1. ji laga sakte hain, atr lagaane se roza nahi tut'ta hai aur makruh bhi nahi hai balke mustahab wa sunnat aur roze daar ka tohfa hai

  2. Qadre wazaahat :


    islaam me atr wa khushbu lagaane ki taakid ki gaei hai, Maasumin (صلوات الله عليهم) ki sunnat wa sirat bhi hai
    inferaadi aur ijtemaaei aetebaar se khushbu lagaane ke mota'addid fawaa'aed bhi hain


    Maasumin (سلام الله عليهم) hamesha sefaarish karte the ke namaazi atr laga kar namaaz padhe


    roza bhi Allaah ki aek azim aebaadat hai lehaaza haalate roza me bhi sefaarish ki gaei hai ke atr lagaa'aen is se roza baatil nahi hota


    Manqul hai :


    اِذَا صَامَ تَطَيَّبَ بِالطِّيبِ وَ يَقُولُ : اَلطِّيبُ تُحفَةُ الصَّائِمِ


    "Imaam Saadiq (عليه السلام) jab bhi roza rakhte the to atr wa khushbu lagaate the aur farmaate the : khushbu wa atr roze daar ka tohfa hai"


    (foruae kaafi jild 4 p 113 baab الطيب والريحان لصائم)

    Ghalat fahmi ka aezaala :


    "rayaahin = رَيَاحِين" sunghna (سونگھنا) roze daar ke liae makruh hai yaani agar sunghe to roze ka sawaab kam ho jaa'ae ga lekin baatil nahi hoga, atr wa khushbu makruh nahi hai balke ye mustahab wa sunnat hai, dono ka hukm alag alag hai


    "rayaahin" se moraad har khushbu daar ghaas wa sabza jaiyse phul ... hai


  3. dusre sawaal ka jawaab niche recommend kiae ga'ae jawaab me molaaheza farmaa len


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


6 / رمضان المبارک / 1441 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.