Maahe ramazaan me nahaane wa ghusl ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Friday, May 1, 2020

Maahe ramazaan me nahaane wa ghusl ka hukm

sawaal az : mohtarama Janaab faatema sb


Aslmwlkm


Plzzz ye answer to aaj hi kar dijiye ke kya nahaana Ramzan mai 12 baje ke bad nahi chahiye


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


agar nahaane se moraad paakizgi wa safaaei waala nahaan hai to maahe ramazaan ki raaton aur dinon me kisi waqt bhi naha sakti hain durust hai roza baatil nahi hoga
aur agar nahaane se moraad ramazaanul mobaarak ki raaton me (roze ki haalat me nahi) izdewaaji ta'alluqaat (ازدواجی تعلقات) qaa'aem karne ke baad ghusl hai to roza rakhne ke liae toluae fajr (sahari khaane) ke pahle ghusl karna zaruri hai


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


3 / رمصان المبارک / 1441 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.