Sawaal az : +92 343 24....
ladies make-up me namaaz adaa kar sakti hai ?
agar kisi ne make-up se pehle wuzu kiya ho, aur make-up ke baad wuzu barqarar ho to kya namaaz adaa ki ja sakti hai ?
agar koi reference bhi mil jaye to bohot acha hai kisi ne yeh masla puchha tha
Follower aghaa sistani Shb.
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
ji dono suraton me padh sakti hain lekin is shart ke saath ke make-up wa aaraa'eish ke mawaad (make-up material) tah wa parat ke maanind peshaani par is tarah na lage hon ke peshaani wa sajdegaah ke darmeyaan rokaawat banen
is liae ke peshaani wa sajdegaah ke bich kisi chiz ka faasela nahi hona chaahiae
lekin agar peshaani par sirf make-up wa zinat ke mawaad ka rang laga rah jaa'ae to haraj nahi hai namaaz sahih hogi
Hawaala :
tauzihul masaa'ael me hai 12 chizen namaaz ko baatil kar deti hain oun ko "mubtalaat" kahte hain
oun me se make-up nahi hai, agar make-up wa zinat se namaaz baatil ho jaati to foqaha is ka zikr "mubtalaate namaaz" me zarur karte
aur sajde ke ahkaam me likha hai : peshaani wa sajdegaah ke darmeyaan kisi chiz ka faasela na ho
behtar hai niche di gaei surkhi par click kar ke dusre jawaabaat ko bhi molaaheza farma len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhar
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
18 / شوال / 1441 ھ.ق
No comments:
Comment