taarikh wafaat ya shahaadat ka hesaab maut ya shahaadat ki taarikh se hoga ya roze tadfin se ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, June 13, 2020

taarikh wafaat ya shahaadat ka hesaab maut ya shahaadat ki taarikh se hoga ya roze tadfin se ?

Sawaal az :+91 74056....


Salam
Khairyat
Mera ek sawal hai


Ek shakhs jiska inteqal Aaj Subha me Ho gaya hai aur Uski Tadfeen dusre din shab me huei to Aap log bata sakti hain marne wale Ke din Kab se shumar honge


Kuch log Ka kahena hai Jis Roz inteqal Ho gaya hai Woh din nahi Gina jayega Balke Jis raat ya din Tadfeen hogi us roz se 24 Hours ke bad us marne wala Ka ek din shumar Kiya jayega Plz Mujhe bataye


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمد لله


jo jis din wa taarikh ko paiyda hota hai wahi din wa taarikh, roz wa taarikhe paiydaa'eish hai
isi tarah jis ki jis din wa taarikh ko shahaadat ya wafaat huei wahi din wa taarikh, roz wa taarikhe shahaadat ya wafaat hai


Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ki shahaadat 28 safar ko huei lekin 3 roz baad dafn huae
(log saqifa me khelaafat baat rahe the)


ya aap ke farzand Imaam Husain (عليه السلام) aur shohadaa'ae karbala (سلام الله عليهم) sab 10 moharram ko shahid huae
lekin naanaa ki tarah 3 roz baad tadfin huei


jo log kahte hain jis roz inteqaal ho gaya wo din nahi gina jaa'ae ga...
oun se puchhen Rasule khoda (صلى الله عليه و آله) ki tadfin ke baad masalan pahli ya dusri rabioul auwwal taarikhe shahaadat maanen ge ya 28 safar ? kab se ginen ge ya shumaar karen ge ?
ya Imaam Husain (عليه السلام) ... ki tadfin ke baad masalan 13 ya 14 moharram taarikhe shahaadat maanen ge ya 10 moharram ko ? din kab se shuru hoga ?


Note :


  1. jaiyse hi badan se ruh juda hoti hai barzakh ka zamaana shuru ho jaata hai
    maut aur qeyaamat ke darmeyaan aalam ko barzakh kahte hain

  2. kuchh ahkaam baad az marg wa qabl az tadfin aur baad az tadfin se makhsus hain jaiyse namaaze wahshat
    (tauzihul masaa'ael ya dusri ketaabon me dekh len)

  3. Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


18 / شوال / 1441ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.