Sawaal az : mohtaram janaab Syed Nasir Abbas / Madagascar (east Africa)
Salamun alikum maulana
Ummid hai mizaje moalla bakhair honge. kuch sawalaat ke jawaab dene ki zahmat farmain.
kya Qurbani ka gosht ghair muslim aur ahle kitab ko diya ja sakta hai ?
Kyun ke quraane majid ne qurbani ke janwar ko shaerallah kaha hai!
Aur qurbani ke janwar ka gosht khaane ke baad haddiyo ko dafan karna zaruri hai ?
Janwar ka khun agar gatar (naale ) me jaye to uska kya hukm hai?
Shukriya jazakallah khair Wa menallahittaufiq
Mohtaje dua
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمد لله و شکریہ
agar ghair muslim wa ahle ketaab musalmaan wa islaam ki taraf raaghib hon to oun ko eide qurbaan ki qurbaani ka gosht diya jaa sakta hai
albatta behtar hai momenin ko diya jaa'ae oun ko moqaddam rakhna chaahiae
is me koei shak nahi hai ke surah haj aayat 36 ke motaabiq qurbaani ka jaanwar "sha'aa'aerullaah = شعائراللہ" me se hai lekin agar taalife qolub wa maa'ael karne ke liae mustahab qurbaani ka gosht diya jaa'ae to koei haraj nahi hai
aezaafi hisson aur haddiyon ko dafn karna zaruri nahi hai aur mustahab bhi nahi hai
agar naale me jaane ki wajah se logon ki aziyat aur aaludgi wa sehate aamma (صحت عامہ) ki kharaabi ka baa'aes na bane to koei haraj nahi hai
Note :
baqiyah sawaalaat mokhtalif mauzu'aat ke baare me hain lehaaza ous ka jawaab انشاءالله alag alag diya jaa'ae ga maazerat
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
16 / ذى الحجه / 1441 ھ.ق
No comments:
Comment