miyaan biwi me aekhtelaaf ki surat me saamaan waghaiyrah ki waapsi ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Tuesday, August 4, 2020

miyaan biwi me aekhtelaaf ki surat me saamaan waghaiyrah ki waapsi ka hukm

sawaal az : .........

Salamunaleykum

Ek sawaal hai plz iska ans jldi den Meri behan ki shadi 8 mahine pahle hui thi jiske baad uske sasural waalo ne usko taane marna shuru kar diya tha kahi uske husband kahte the mujhe keya diya hai kabhi kahte the mera aur baraatiyo ka sahi se welcome nai hua hamne bahot maafi mangi.
2-3 mahine baad meri behan phuphu ke yaha shadi me aayi jabse ab tak 4-5 mahine ho gaye lekin ek baar bhi phone nai kiya aur hm call krte the to bolte the mujhe call mat karo aur meri behan se wo baat nai karte the kahte the 4-5 mahine ise ghr rakho aql sahi ho jayegi iski
Wo bolte hai ki usne uski ma par hath uthaya hai aur pata nai kis tarha ke ilzam lagaye gaye hai meri behan pe aur pata nai kitne taane marte the sare ghar wale mil ke

Ab 4 mahine baad unke ma baap hamare mama k ghr aaye aur kahne lage ham faisla karna chahte hai jabki meri behan ye kahne lagi ki mai apne saas sasur ko leke augi apne ghar mama ke ghar se par uske saas sasur ne mana kar diya ki hame unke ghr mai kisi se koi baat nahi karni

Faisla ye hua ki jo saman diya aur jo paisa laga hai wo wapas mil jayega Hame ye lag raha hai ki hame kuch galt na kar rahe ho

kya ham unse paisa zeyada le sakte hai Aur hamne bahot koshish kar li magr wo ab manne ke liye tayyar nahi hai unhe talaq hi chahiye

Mahool wagera bi bilkul alag hai unke ghr ka prda bhi nahi kiya jata hmne shadi ki thi sirf ldke ko dekh kar ki wo shayr-e-ahlybait a.s hai par wo naam ke hi shayro mai se hai itni baten sun chuke hai unki aur unke ghar walo ki mai aur mera bhai ammi nai chahte the ki hm apni behan ko waha bheje par ldki jana chahti thi,aur sasural wale nahi chate use rakhna
Ladka shuru se kahta tha baar baar ki mai talaq nai dunga tumhe mujhse talaq leni hai to le sakti ho

jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا 
علیكم السلام و رحمةالله و بركاته


puchne ke baad aap ne farmaaya ke zan o shauhar aapas me rishtedaar nahi hain our paise lagne se moraad mang'ni se lekar baaraat tak ka kharch hai
is ke peshe nazar jawaab molaaheza farmaaen :

jo saamaan diya hai ya jo paise lage hain ous ko kisi manfa'at wa aewaz ki oummid ke beghair ( shauhar ke ghar waalon ki darkhaast ke beghair ) sawaab ke liae diya hai ya lagaaya hai our asl saamaan wa raqam maujud nahi hai to qaabile wosul nahi hai

agar apni khushi wa marzi se kuch de rahe hain to ous ko lene me koei haraj nahi hai

Note :

(1) jahez ki maalik aurat hai shauhar nahi , lehaaza waapas le sakti hai

(2) mahr ( مہر ) aurat ka haq hai , mard jab tak nahi dega ous ka maqruz rahe ga

jahez wa mahr ke ta'alluq se tafsilaat hain

(3) behtar hai di gaei video molaaheza farma len




والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

13 / ذى ا لحجه / 1441 ھ.ق

No comments:

Comment

.