Jashn-E-Mauludain
×

“Alayhis Salam” ke maani kya hain ? Kya ghair ma'soom ke saath kehna sahih hai ?

Sawaal az : Mohtarama Janaab Saniya Zahra Sb.


Ek question tha

Ahlebait bhi a.s aur unke nokar bhi a.s kyon hain ?

Win channel pe question tha

Hame bas ye puchhna hai ki salman farsi bhi a.s aur maula ali bhi a.s ye kaise jabki maula ali ki wajah se salmaan farsi hain

Jawaab :

باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم


Jawaab dene se pahle chand baaton ka jaanna zaruri hai, kuchh kalemaat wa jumle buzurg hastiyon ke mobaarak naamon ke saath bole wa likhe jaate hain, sawaal ke peshe nazar oun me se kuchh darj zail hain :


  1. Alayhis salaam / salaamullaah alayh (عَلَيه السَّلام / سَلَامُ الله عَلَيه)
  2. (Oun par salaamti ho / oun par allaah ka salaam ho)

    Ye aek shakhs aur mard ke liye istemaal hota hai (istelaah me mufrad mozakkar kahte hain) jaiyse Hazrat Ali alayhis salaam / salaamullaah alayh

  3. Alayhas salaam / salaamullaah alayha (عَلَيهَا السَّلام / سَلامُ الله عَلَيها)

  4. (Oun par salaamti ho / oun par allaah ka salaam ho)

    ye aek aurat / ladki ke liye istemaal hota hai (istelaah me mufrad mowannas kahte hain) jaiyse Hazrat Faatema alayhas salaam / salaamullaah alayha

  5. Alayhemas salaam / salaamullaah alayhema (عَلَيهِمَا السَّلام / سَلام الله عَلَيهِمَا)

  6. (Oun dono par salaamti ho / oun dono par allaah ka salaam ho)

    Ye 2 mard ke liye istemaal hota hai (istelaah me tasniya mozakkar kahte hain) jaiyse Imaam Hasan wa Hussain alayhemas salaam / salaamullaah alayhema

  7. Alayhemus salaam / salaamullaah alyhim (عَلَيهِمُ السَّلام / سَلامُ الله عَلَيهِم)

  8. (Oun par salaamti ho / oun par allaah ka salaam ho)

    Ye chand mard ke liye istemaal hota hai (istelaah me jama mozakkar kahte hain) jaiyse Maasumin alayhemus salaam / salaamullaah alayhim

    Mazkurah baala jumle wa kalemaat doaa'eiyah (دعائیہ) hain aur taazimo tauqir aur adabo aehteraam ke liye bhi istemaal hote hain

    Ye jumle wa kalemaat apne maani aur mafhum ke aetebaar se ghair maasum jaiyse Janaabe Salmaan waghaiyrah ke liye istemaal karna jaa'aez hai, koei haraj nahi hai

    Lekin chunke hamaare ourf me sadiyon se maamul wa raa'aej hai ke in jumlon wa kalemaat ka istemaal aam taur se Maasumin (عليهم السلام) ke mobaarak naamon ke saath hota hai, Maasumin (سلام الله عليهم) ki zaat ke saath khaas hain

    Ya aiysi hastiyon ke liye istemaal hote hain jo oun se zeyaadah moshaabahat (مشابہت) rakhti hain ya jis ki ismat Maasumin (عليهم السلام) ki ismat ke moshaabeh hai jaiyse Janaabe Zainab Janaabe Khadija aur Maasuma'ae Qum ... aur Janaabe Abbaas, Janaabe Ali Akbar waghaiyrah

    Lehaaza in hazaraat ki hurmat ka paaso lehaaz rakhte huae behtar hai ke ye kalemaat kisi aur ke liye bola wa likha na jaa'ae

Note :

  1. Loqmaane oummat Janaabe Salmaan maamuli insaan nahi the balke Rasule Akram (صلى الله عليه وآله) ke mash'hur wa behtarin sahaabi aur Ali (عليه السلام) ke madad gaaron me se the, saqifa ke mokhaalif the

  2. Rasule Khoda (صلى الله عليه و آله) ne aap ke baare me farmaaya :

    "Salmaan hamaare ahlebait se hain"

    Aap ko Salmaane Faarsi ke bajaa'ae "Salmaane Mohammadi " kaha jaata hai

    Salmaan bhi salaamti wa taslim se liya gaya hai

  3. Niche diae gae jawaab ko padhna behtar hai انشاءالله

  4. razeyallaah | alayhissalaam kis ke liye bola jaata hai ? | ous par dalil

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran

29 / ربيع الاول / 1442 ھ.ق

Comment

Previous Post Next Post