Sawaal az+9198....81
Salamunalaikum Maulana
Sab khairiyat
mazrat chahta hoon
Mera sawaal hai
Thoda personal tha
Kya koi aurat jisko periods aata ho. Kya us dauran poore ghar ko dhona ya saaf karna padta hai. taake namaz padha jaye yaane pura ghar sab dho kar saaf kar ke phir padha jaaye namaaz.
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمدللہ
jab ham yahudi, masihi aur islaam ki dini ketaabon ko dekhte hain to islaam ne maahwaari ke dauraan khawaatin ke liae darmeyaani raasta aekhteyaar kiya hai na zeyaat'ti aekhteyaar ki hai aur na kami pasandida deen islaam aetedaal pasand hai ifraat wa tafrit se dur
yahud maahwaari ke dinon me auraton ko achhut (اچھوت) samajhte the is dauraan auraton se milna julna haraam tha hat'ta aek dastarkhaan par saath baith kar khaana khaana ya aek kamre me rahna haraam tha
kahte the maahwaari ke dauraan jis jagah aurat baith gaei agar ous jagah koei dusra baith gaya to apne lebaas ko dho'ae ... is mud'dat me auraton ko aek naapaak moujud samajhte the ous se parhez karna zaruri wa laazim tha
in ke moqaabil eisaaei maahwaari ke dinon me auraton se har qism ka milaap rakhte the aurat ko maahwaari aati ho ya na aati ho koei farq nahi tha
yahaan islaam ka mouqif bayaan huwa ke aurat in dinon me achhut nahi hai aur ous ke haath se khaana khaane me koei haraj nahi hai
albat'ta mobaasherat wa jinsi aamezish haraam hai
aur maslehat, aehteraam wa qadaasat ki khaatir baaz chizon ke liae kuchh ahkaam bhi bayaan kiae ga'ae jaiyse qur'aan, masjid aur namaaz roza waghairah se mota'alliq ahkaam
najaasat ki haalat me is tarah ke ahkaam mardon ke liae bhi hain (tafsil fiqhi ketaabon me dekh len aur surah baqarah aayat 222 bhi padh len)
Mokhtasar tamhid ke baad asli Jawaab
maahwaari ke darmeyaan aurat ka badan aur wo lebaas jo badan par tha ya wo tauwliya jis ko is dauran istemaal kiya sab paak hain najis nahi hain hat'ta agar pasina nikla ho tab bhi paak hain
ghusl ke baad ousi kapde par namaaz bhi padh sakti hain
badan wa lebaas ka sirf wo his'sa najis hoga jahan khun ya dusri najaasat lag jaa'ae
jab lebaas wa badan najis nahi hai to ghar keyon najis hoga ?
jabtak najaasat na lage ghar bhi paak hai lehaaza dhona zaruri nahi hai
Note
- namaaz guzaar ki jagah me sirf sajde ki jagah ka paak hona zaruri hai
- sawaal ke ta'alluq se video ke zariae tafsili jawaab diya gaya hai niche di gaei video dekh len.
keya maahwaari (menstruation) ki haalat me auraten nazr ka khaana paka sakti hain
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad patna-shoba-e-sawaalaat Qum / iran
17 / رجب /1439ھ-ق
No comments:
Comment