Sawaal az : Mohtarama janaab Madeeha Batool sb (Pakistan)
Sawal yeh hai ke makhsoos dino me agar koi museeebat aa jaaye to apne dil ko kaise mutmaein kiya jaayena namaaz na tilaawat na kuchh aur padh sakte hain kya kiya jaaye
Jawaab :
باسمه تعالی
يا صاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
maahwaari ka matlab hargiz ye nahi hai ke auraten khoda se dur ho gaein aur qur'aan, doa waghairah nahi padh sakti hain ya aebaadat nahi kar sakti hain
balke baaz shar'ei ahkaam ki re'aayat karte huae aebaadat kar sakti hain aur qur'aan wa doa ... bhi padh sakti hain
agar doa waghairah na padhen tab bhi aebaadat ka sawaab mile ga
Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) se marwi hai :
حَيضُ يَومٍ لَكُنَّ خَير مِن عِبَادَةِ سَنَةٍ صِيَامٍ نَهَارُهَا وَ قِيَامٍ لَيلُهَا
tum auraton ke liae aek din haiz aana saal bhar ki aiysi aebaadat se behtar hai ke saal ke dinon me roze rakhe aur saal bhar ki raaton me aebaadat wa shab zinda daari kare
(mustad rakul wasaa'ael ... jild 2 p 41)
ye ajro paadaash ous dauraan ranjo taklif ki wajah se hai
bahar kaif rewaayaat ke motaabiq maahwaari ke dinon me behtar wa mustahab hai ke khud ko dho kar har namaaz ke waqt wozu karen agar wozu nahi kar sakti hain to tayammum karen aur mosalle par qibla rukh baith kar qur'aan, doa aur zeyaaraat wa hadise kesa waghairah padhen
33 martaba tasbihaate arba'ah khosusan tasbihe janaabe faatema (سلام الله عليها) padhen
jab bhi waqt mile yaade aelaahi se dil ko mutma'ein karen, izteraabe qalb aur zehni tanaao (تناؤ) ... me mubtala logon ke liae behtarin chiz zikr wa yaade aelaahi hai is se dilon ko itminaan ho jaata hai
Surah raad aayat 28 me hai :
۔... اَلَا بِذِكرِاللهِ تَطمَئِنُّ القُلُوبِ
... khabar daar ho jaao (jaan lo ke) Allaah hi ke zikr se dilon ko itminaan nasib hota hai
baaqi tafsil niche recommend kiae ga'ae jawaab me dekh len
- maahwaari ke dinon me keya karna haraam hai ? | aamaale shabe qadr | qur'aan | doa padhne ka hukm
- keya haiz ki haalat me aurat achhut hai ? | ous ki wajah se ghar najis ho jaata hai ?
keya maahwaari (menstruation) ki haalat me auraten nazr ka khaana paka sakti hain
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
4 / جمادى الاولى / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment